Categories: Antakshari

“YE-ये” Word Antakshari Songs List

“Ye Mausam Ka Jadu Hai Mitwa,

Na Ab Dil Pe Kabu Hai Mitwa,

Naina Jismein Kho Gaye, Deewane Se Ho Gaye,

Nazara Ye Harsu Hai Mitwa”   

1.  Ye Mahalon Ye Takhton Yeh Taajon Ki Duniya,

Yeh Insaan Ke Dushman Samajon Ki Duniya,

Yeh Daulat Ke Bhookhe Ravajon Ki Duniya,

Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai      

Film – Pyasa – Actors – Guru Dutt, Waheeda Rehman,

Kumkum, Rehman, and Others

2. Ye Jhuke Jhuke Naina, Ya Lat Balkhati,

To Dil Kyon Na Mera, Deewana Ho Tera,

Yeh Jhuke Jhuke Naina,

Film – Bharosa – Actors – Guru Dutt and Asha Parekh

3. Ye Lo Main Hari Piya, Hui Teri Jeet Re,

Kahe Ka Jhagadaa Baalam Nai Nai Preet Re,

Ye Lo Main Hari Piya,                

Film – Aar Paar – Actors – Guru Dutt and Shyama

4. Ye Shaam Ki Tanhaiyaan Aise Mein Tera Gham,

Patte Kahin Khadake Hawwa Aayi To Chaunke Hum,

Ye Shaam Ki Tanhaiyaan Aise Mein Tera Gham

Film – Aah – Actor – Nargis                    

6. Ye Dil Ki Lagi Kam Kya Hogi,

Ye Ishq Bhala Kam Kya Hoga,

Jab Raat Hai Aisi Matwali,

Phir Subah Ka Aalam Kya Hoga,

Phir Subah Ka Alam Kya Hoga.

Film – Mughal-E-Azam

Actors  – Nigar Sultana, Dilip Kumar, Madhubala, and Others

7.  Ye Mera Deewanapan Hai, Ya Mohabbat Ka Suroor,

Yeh Mera Deewanapan Hai, Ya Mohabbat Ka Suroor,

Tu Naa Pehchane To Hai Ye Teri Nazron Ka Kusoor,

Yeh Mera Deewanapan Hai,

Film – Yahudi – Actors – Dilip Kumar and Meena Kumari

8. Ye Zindagi Ke Mele, Yeh Zindagi Ke Mele,

Duniya Mein Kum Na Honge, Afsos Hum Na Honge,

Yeh Zindagi Ke Mele,        

Film – Mela – Actors – Dilip Kumar, Nargis, and Others

9.  Ye Desh Hai Veer Jawano Ka, Albelon Ka, Mastano Ka,                           

Is Desh Ka Yaaron Kya Kahana, Ye Desh Hai Duniya Ka Gahana,

Film – Naya Daur – Actors – Dilip Kumar, Ajit, and Others

10.  Ye Hawa Ye Chandni Ye Raat,

Teri Har Ada Pe Nisar Hai,

Mujhe Kyon Naa Ho Teri Aarzoo,

Teri Justaju Mein Bahar Hai

Yeh Hawa Ye Raat Ye Chandni,

Film – Sangdil – Actors – Dilip Kumar and Madhubala

11. Ye Ankhen Uff Yumma,Ye Soorat Uff Yumma,

Pyar Kyon Na Hoga, Ye Adayen Uff Yumma,

Ye Mausam Uff Yumma,

Ye Dhadkan Uff Yumma, Kaise Dil Ko Rokoon,                           

Koi Thame, Uff Yumma,                                      

Film – Jab Pyar Kisise Hota Hai,

Actors – Dev Anand And Asha Parekh   

12.  Ye Duniya Wale Poochhenge,

Mulaqat Hui, Kya Baat Hui,

Yeh Baat Kisise Na Kehna, Yeh Duniya Wale Poochhenge,

Film – Mahal – Actors – Dev Anand and Asha Parekh        

13. Ye Raat Yeh Chandni Phir Kahan,

Sun Ja Dil Ki Dastaan,

Chandni Raaten, Pyar Ki Baaten,

Kho Gayi Jane Kahan,

Yeh Raat Yeh Chandni Phir Kahan,

Sun Ja Dil Ki Dastaan,

Film – Jaal – Actors – Dev Anand, and Geeta Bali

14.  Ye Dil Na Hota Bechara, Kadam Na Hote Awara,

Jo Khoobsurat Koi Apna, Humsafar Hota

Yeh Dil Na Hota Bechara,

Film – Jewel Thief – Dev Anand, Tanuja, and Others

15. Ye Ansoo Mere Dil Ki Zubaan Hain,

Ye Ansoo Mere Dil Ki Zubaan Hain,

Main Ro Doon To Ro Dein Ansoo,

Main Hans Doon To Hans Dein Ansoo,

Ye Ansoo Mere Dil Ki Zubaan Hain,          

Film-Humrahi-Actors-Rajendra Kumar and Jamna

16. Ye Mausam Bheega Bheega Hai,

Hawa Bhi Zyada Zyada Hai,

Kyon Na Machlega Dil Mera,

Tumko Paane Ka Irada Hai,

Yeh Mausam Bheega Bheega Hai,

Film – Dharti –

Actors- Rajendra Kumar and Waheeda Rehman

17. Ye Mera Prem Patra Padhkar,

Tum Naaraz Na Hona,

Ke Tum Meri Zindagi Ho,            

Ke Tum Meri Bandagi Ho,

Film – Sangam –

Actors – Rajendra Kumar and Vyjayantimala

18. Ye To Kaho Kaun Ho Tum,  Kaun Ho Tum,

Mujhse Poochhe Bina Dil Mein Aane Lage,

Mujhse Poochhe Bina Dil Mein Aane Lage,

Yeh To Kaho Kaun Ho Tum, Kaun Ho Tum,

Meethi Nazaron Se Bijlee Girane Lage,

Meethi Nazaron Se Bijlee Girane Lage,

Yeh To Kaho Kaun Ho Tum,  Kaun Ho Tum,

Film – Ashiq – Actors – Raj Kapoor and Padmini

19. Ye Raat Bheegi Bheegi, Yeh Mast Fizayen,        

Utha Dheere Dheere Woh Chand Pyara Pyara

Kyon Aag Si Lagake, Gumsum Hai Chandni,

Sone Bhi Nahin Deta, Mausam Ka Yeh Ishara,

Film – Chori Chori – Actors – Raj Kapoor, and Nargis

20. Ye Zulf Agar Khulke Bikhar Jaye To Achchha,

Is Raat Ki Taqdeer Sanwar Jaye To Achchha,

Yeh Zulf Agar Khulke Bikhar Jaye To Achchha,

Film – Kaajal – Actors – Rajkumar and Helen

21. Ye Hasrat Thi Ki Is Duniya Mein Bas Do Kaam Kar Jaate,

Tumhari Yaad Mein Jeete, Tumhare Gham Mein Mar Jaate,

Yeh Hasrat Thi Ki Is Duniya Mein Bas Do Kaam Kar Jaate,

Film – Nausher-Wane-Adil –                                              

Actors – Raj Kumar and Mala Sinha-

22. Ye Duniya Ye Mehfil Mere Kaam Ki Nahin,

Mere Kaam Ki Nahin,

Film – Heer Ranjha          

Actors – Raj Kumar aur Priya Rajvansh

23.  Ye Nayan Dare Dare, Yeh Jaam Bhare Bhare,

Zara Peene Do, Kal Ki Kisko Khabar,

Ik Raat Hoke Nidar, Mujhe Jeene Do,

Ye Nayan Dare Dare

Film – Kohra –

Actors – Biswajeet and Waheeda Rehman

24.  Ye Lal Rang Kab Mujhe Chhorhega,

Mera Gham, Kab Talak, Mera Dil Todega,

Yeh Lal Rang Kab Mujhe Chhorhega,      

Film – Prem Nagar –

Actors – Rajesh Khanna and Hema Malini

25. Ye Kya Hua, Kaise Hua, Kab Hua, Kyon Hua,

Jab Hua, Tab Hua, Chhorho, Yeh Na Socho, Yeh Kya Hua,

Film – Amar Prem –                      

Actors – Rajesh Khanna and Sharmila Tagore

26. Ye Jo Chilman Hai Dushman Hai Hamari,

Kitni Sharmilee, Kitni Sharmilee, Dulhan Hai Hamari,

Yeh Jo Chilman Hai,

Film-Mehboob Ki Mehandi-

Actors-Rajesh Khanna and Leena Chandavarkar

27.  Yeh Reshami Zulfen, Yeh Sharbati Ankhen,

Inhe Dekhkar Ji Rahe Hain Sabhi

Film – Do Raste – Actors – Rajesh Khanna and Mumtaz

28. Yeh Jo Mohabbat Hai, Yeh Unka Hai Kaam,

Mehboob Ka Jo Lete Hue Naam,

Film – Kati Patang –

Actors – Rajesh Khanna and Asha Parekh

29. Yeh Shaam Mastani, Madhosh Kiye Jaaye,

Mujhe Dor Koi Kheenche, Teri Ore Liye Jaaye,

Film – Kati Patang –

Actors – Rajesh Khanna and Asha Parekh

30. Ye Raaten Yeh Mausam, Nadi Ka Kinara,

Yeh Chanchal Hawa,

Kaha Do Dilon Ne Ke Milkar Kabhi Hum,

Na Honge Juda,       

Yeh Raaten Yeh Mausam, Nadi Ka Kinara,

Yeh Chanchal Hawa,

Film – Dilli Ka Thug –

Actors –  Kishore Kumar and Nutan

31.  Ye Kali Jab Talak, Phool Banke Khile,

Intezar, Intezar, Intezar Karo, Intezar Karo,

Intezar Woh Bhala Kya Kare Tum Jise,

Bekarar, Bekarar, Bekarar Karo, Bekarar Karo

Film – Aye Din Bahar Ke –

Actors – Dharmendra and Asha Parekh

32. Yeh Mera Dil Pyar Ka Deewana,

Deewana, Deewana, Pyar Ka Parwana,

Ata Hai Mujhko, Pyar Mein Jal Jana,

Mushkil Hai Pyare, Tera Bachke Jaana,

Yeh Mera Dil Pyar Ka Deewana,      

Film – Don – Actors – Amitabh Bachchan and Helen   

33.  Ye Kahan AA Gaye Hum, Yunhi Saath Saath Chalte,

Teri Bahon Mein Hain Janam, Mere Jism-O-Jaan Pigalte,

Film – Silsila – Actors – Amitabh Bachchan and Rekha

34.  Ye Din Kya Aye, Lage Phool Hansne, Dekho Basanti,

Hone Lage Mere Sapne, Dekho Basanti,

Film – Chhoti Si Baat –         

Actors – Vidya Sinha, Amol Palekar, and Asrani.

35. Ye Pyar Tha Ya Kuchh Aur Tha,

Na Tujhe Pata Na Mujhe Pata

Film – Prem Rog –

Actors – Rishi Kapoor and Padmini Kolhapure

36. Ye Galiyan Yeh Chaubara, Yahan Ana Na Dobara,

Ab Hum To Bhaye, Pardesi, Ke Tera Yahan Koi Nahin,

Ke Tera Yahan Koi Nahin,

Le Ja Rang Birangi Yaden, Apne Rone Ki Buniyaden,

Ke Hum To Bhaye Pardesi,

Ke Tera Yah Koi Nahin, Ke Tera Yah Koi Nahin

Film – Prem Rog –

Actors – Rishi Kapoor, Padmini Kolhapure, and Others

37. Ye Ladka Hai Allah Kaisa Hai Deewana,

Kitna Mushkil Hai Tauba Isko Samjhana,

Ke Dheere Dheere Bekarar Hota Hai,

Hote, Hote, Hote, Pyar Hota Hai

Film – Hum Kisise Kum Nahin –

Actors – Kajal Kirron and Tariq

38. Ye Tera Ghar Yeh Mera Ghar,

Kisiko Dekhana Ho Gar,

To Pehle Ake Maang Le, Teri Nazar, Meri Nazar,

Film-Saath Saath-

Actors-Farooq Shaikh and Deepti Naval                             

39.  Ye Kya Jagah Hai Doston,

Yeh Kaunsa Dayaar Hai,

Had-E-Nigah Tak Jahan Gubbar Hi Gubbar Hai,

Gubbar Hi Gubbar Hai, Yeh Kya Jagah Hai Doston,

Yeh Kaunsa Dayaar Hai,

Film – Umrao Jaan – Actors – Rekha and Others

40.  Ye Mausam Ka Jadu Hai Mitwa,

Na Ab Dil Pe Kabu Hai Mitwa,

Naina Jismein Kho Gaye, Deewane Se Ho Gaye,

Nazara Ye Harsu Hai Mitwa,      

Film – Hum Apke Hain Koun –

Actors – Salman Khan, Madhuri Dixit

41. Ye Raat Aur Ye Doori, Tera Milna Hai Zaroori,

Ke Dil Mera Dhak Dhak Dole, Deewana Liye Jaye Hitchkole

Film – Andaz Apna Apna                                         

Actors – Salman Khan, Karisma Kapoor,

Amir Khan, and Raveena Tondon

42. Ye Jab Se Hui, Jeeya Ki Chori,           

Patang Sa Ude, Yeh Man Jo Hai Tere,

Haathon Mein Dori,      

Ye Jab Se Hui, Jeeya Ki Chori,

Film – Us Paar      

Actors – Maushumi Chatterjee and Vinod Mehra

43.  Ye Khamoshiyan Ye Tanhaiyaan,

Mohabbat Ki Duniya Hai, Kitni Jawan,

Ye Khamoshiyan Ye Tanhaiyaan,

Mohabbat Ki Duniya Hai, Kitni Jawan,

Film-Ye Raste Hain Pyar Ke-       

Actors-Sunil Dutt and Leela Naidu

44.  Ye Chand Sa Roshan Chehra, Zulfon Ka Rang Sunahara,

Yeh Jheel Si Neeli Ankhen, Koi Raaz Hai Inmein Gahara,

Tareef Karoon Ka Uski, Jisne Tumhein Banaya

Film – Kashmir Ki Kali –                            

Actors – Shammi Kapoor, Sharmila Tagore, and Others

45. Ye Umar Hai Kya Rangeelee,

Ye Nazar Hai Kya Nasheelee,

Pyar Mein Khoye Khoye Nain,                                                                                             

Hamara Rom Rom Bechain,

Hamara Hee Zamana Hai,                    

Hai Hum Par Thi Jawani,                     

Saari Duniya Thi Deewani,

Kisike Hum Bhi The Dildaar,                      

Koi Karata Tha Humse Pyar,

Hamara Bhi Zamana Tha,

Film – Professor

Actors – Kalpana, Parveen Chaudhary,

Shammi Kapoor and Others                                                                                                

46.  Ye Haseen Vadiyaan, Yeh Khula Asmaan,

Aa Gaye Hum Kahan, Ae Mere Sajna,

Film – Roja – Actors – Arvind Swamy and Madhu

47. Ye Raat Khush Naseeb Hai Jo Apne Chand Ko,

Kaleje Se Lagake So Rahi Hai,

Yahan To Gham Ki Sej Par Hamari Arzoo,

Akele Moonh Chhupa Ke Ro Rahi Hai,

Yeh Raat Khush Naseeb Hai,                       

Jo Apne Chand Ko, Kaleje Se Lagake So Rahi Hai,

Film – Aaina –

Actors – Jackie Shroff, Amrita Singh, and Juhi Chawla

48. Ye Mausam Rangeen Sama,

Thahar Zara O’Jaan-E-Jaan,

Tera Mera Mera Tera Pyar Hai,

To Phir Kaisa Sharmana,

Ruk To Main Jaoon Jaan-E-Jaan,

Mujhko Hai Inkaar Kahan,      

Tera Mera, Mera Tera Pyar Sanam,

Na Ban Jaye Afsana,

Film- Modern Girl

Actors – Pradeep Kumar and Sayeeda Khan

49.  Ye Zindagi Usiki Hai, Jo Kisika Ho Gaya,

Pyar Hi Mein Kho Gaya, Ye Zindagi Usiki Hai

Film – Anarkali –

Actors – Beena Rai and Pradeep Kumar

50. Ye Sama, Sama Hai Ye Pyar Ka,

Kisi Ke Intezaar Ka,

Dil Na Chura Le Kahin Mera Mausam Bahar Ka,

Ye Sama,                        

Film – Jab Jab Phool Khile

Actors – Nanda and Shashi Kapoor

(Pin courtesy Canva)

Geeta Chadda

Recent Posts

65 Mere मेरेWord Songs For Antakshari In Hindi

“मेरी जान में तेरी जान है ओ साथी मेरे” 1. मेरे दिल की घड़ी करे… Read More

4 weeks ago

50 Kabhi कभी Word Songs In Hindi

“छोटी सी ये दुनिया, पहचाने रास्ते हैं, तुम कहीं तो मिलोगे, कभी तो मिलोगे, तो… Read More

2 months ago

55 “Yaad” Word Songs List In English

“Jab Chali Thadi Hawa, Jab Uthi Kali Ghata, Mujhko Ae Jaan-E-Wafa, Tum Yaad Aye” 1. … Read More

2 months ago

55 Naam नाम Word Songs List In Hindi

“कोई लड़की मुझे कल रात सपने में मिली, बड़ी प्यारी सी सूरत थी, भला सा… Read More

2 months ago

Kahan कहां Word Songs List In Hindi

“ये कहां आ गये हम, यूँ ही साथ साथ चलते तेरी बाहों में है जानम,… Read More

2 months ago

75 Duniya दुनिया Word Songs For Antakshari

“इक नई सुबह दुनिया में आने को है” 1. ये जिंदगी के मेले, ये जिंदगी… Read More

3 months ago