Categories: Reader's Favourite

Ankhen (Eyes) Songs List In English

“Jaadu Bhari Ankhon Wali Suno

Tum Aise Hamein Dekha Na Karo”

1.  Ankhon Hi Ankhon Mein Ishara Ho Gaya,

Baithe Baithe Jeene Ka Sahara Ho Gaya,

Ankhon Hi Ankhon Mein,

Film – C.I.D. – Released 1956

Actors – Dev Anand and Shakila

2.  Leke Pehla Pehla Pyar, Bhar Ke Ankhon Mein Khumar,

Jadu Nagri Se Aaya Hai, Koi Jadugar, Leke Pehla Pehla Pyar,

Film – C.I.D. – Released 1956

Actors – Dev Anand, Shakila, and Others

3.  Khoya Khoya Chand, Khula Asmaan,

Ankhon Mein Sari Raat Jayegi,

Tumko Bhi Kaise Neend Ayegi, Khoya Khoya Chand,

Film – Kala Bazar – Released 1960

Actors – Dev Anand and Waheeda Rehman

4. Yeh Ankhen Uff Yumma, Yeh Soorat, Uff Yumma,

Pyar Kyon Na Hoga, Yeh Adayen Uff Yumma,

Yeh Mausam Uff Yumma, Yeh Dhadkan Uff Yumma,

Kaise Dil Ko Rokoon, Koi Thame Uff Yumma,

Film – Jab Pyar Kisise Hota Hai – Released 1961

Actors – Dev Anand and Asha Parekh

5. Tujhe Jeevan Ki Dor Se, Baandh Liya Hai, Baandh Liya Hai,

Teri Khushiyaan Aur Gham, Sar Ankhon Par,

Maine Badle Mein Pyar ke Pyar Diya Hai,Pyar Diya Hai,

Tere-Zulm-O-Sitam, Sar Ankhon Par

Film-Asli Naqli – Released 1962

Actors-Dev Anand and Sadhna

6.  Ankhon Ankhon Mein Hum Tum, Ho Gaye Deewane,

Baaton Baaton Mein Dekho, Ban Gaye Afsane,

Ankhon Ankhon Mein Hum Tum, Ho Gaye Deewane,

Film – Mahal – Released 1970

Actor – Dev Anand and Asha Parekh

7. Kiskaa Rasta Dekhe, Ae Dil Ah Saudayee,

Meelon Hai Khamoshi, Barson Hai Tanhai,

Bhooli Duniya Kabhi Ki, Tujhe Bhi, Mujhe Bhi,

Phir Kyon Ankh Bhar Ayi,

Kiskaa Rasta Dekhe, Ae Dil Ah Saudayee,

Film – Josheela – Released 1973

Actor – Dev Anand

8. Hum Apki Ankhon Mein, Is Dil Ko Basa Dein To,

Hum Moond Ke Palkon Ko, Is Dil Ko Sazaa Dein To,

Hum Apki Ankhon Mein, Is Dil Ko Basa Dein To,

Film – Pyasa – Released 1957

Actors  – Guru Dutt and Mala Sinha

9.  Saquiya Aaj Mujhe Need Nahin Ayegi,

Suna Hai Teri Mehfil Mein Rat-Jaga Hai

Ankhon Ankhon Mein Yun Hi Raat Guzar Jayegi,

Suna Hai Teri Mehfil Mein Rat-Jaga Hai

Film – Saheb Bibi Aur Gulam – Released 1962

Actors – Minoo Mumtaz, Guru Dutt and Others

10.  Dil Dhadak Dhadak Ke Keh Raha Hai Aa Bhi Ja,

Tu Humse Ankh Na Chura, Tujhe Kasam Hai Aa Bhi Ja,

Dil Tadap Tadap Ke De Raha Yeh Sada,

Tumhari Ho Chuki Hoon Main, Tumhare Paas Hoon Sada,

Film – Madhumati – Released 1958

Actors – Dilip Kumar and Vyjayantimala

11. Main To Kab Se Khadi Is Par,

Yeh Akhiyaan, Thak Gayi Panth Nihaar,

Aaja Re, Pardesi, Main To Kab Se Khadi Is Par,

 Yeh Akhiyaan, Thakk Gayi Panth Nihaar, Aaja Re, Pardesi,

Film – Madhumati – Released 1958

Actors – Dilip Kumar and Vyjayantimala

12.  Zulmi Sang Ankh Ladi, Zulmi Sang Ankh Ladi, Re Ho,

Sakhi Main Ka Se Kahoon, O’Sakhi Ka Se Kahoon,

Jane Kaise Yeh Baat Badi, Zulmi Sang Ankh Ladi, Re Ho

Film – Madhumati – Released 1958

Actors – Dilip Kumar, Vyjayantimala, and Others

13. Toote Hue Khwabon Ne Humko Yeh Sikhaya Hai,

Dil Ne, Dil Ne Jise Paya Tha, Ankhon Ne Ganwaya Hai.

Toote Hue Khwabon Ne Humko Yeh Sikhaya Hai,

Dil Ne, Dil Ne Jise Paya Tha, Ankhon Ne Ganwaya Hai.

Film – Madhumati – Released 1958

Actors – Dilip Kumar

14.  Chand Sa Mukhda, Kyon Sharmaya,

Chand Sa Mukhda, Kyon Sharmaya,

Ankh Mili, Aur Dil Ghabraya,

Chand Sa Mukhda, Kyon Sharmaya,

Film – Insaan Jaag Utha  – Released 1959

Actors – Sunil Dutt and Madhubala

15. Teri Ankhon Ke Siva Duniya Mein Rakha Kya Hai,

Ye Uthe Subah Chale, Yeh Jhuken Shaam Dhale,

Mera Jeena, Mera Marna Inhi Palkon Ke Tale,

Teri Ankhon Ke Siva Duniya Mein Rakha Kya Hai,

Film – Chirag – Released 1969

Actors – Sunil Dutt and Asha Parekh

16.  Ansoo Samajh Ke Kyon Mujhe, Ankh Se Toone Gira Diya,

Moti Kisike Pyar Ka, Mitti Mein Kyon Mila Diya,          

Ansoo Samajh Ke Kyon Mujhe Ankh Se Toone Gira Diya,

Film- Chhaya – Released 1961

Actors –Sunil Dutt, Asha Parekh, Nirupa Roy, and Others

17.  Ankhon Mein Masti Sharab Ki,

Kali Zulfon Mein Raten Shabab Ki,

Jane Ayi Kahan Se Toot Ke,

Mere Daman Mein Pankhuri Gulab Ki

Ankhon Mein Masti Sharab Ki,

Kali Zulfon Mein Raten Shabab Ki,

Jane Ayi Kahan Se Toot Ke,

Mere Daman Mein Pankhuri Gulab Ki

Film – Chhaya – Released 1961

Actors – Sunil Dutt and Asha Parekh

18. Jhoomta Mausam Mast Maheena,

Chand Si Gori Ek Haseena,

Ankh Mein Kaajal Moonh Pe Paseena,

Ya Allah Ya Allah Dil Le Gayi,

Koi Rangeela Sapanon Mein Aa Ke,

Ik Nazar Se Apana Bana Ke,

Pyar Ka Jaadu Hum Pe Chala Ke,

Ya Allah Ya Allah Dil Le Gaya,

Film – Ujaala – Released 1959

Actors – Shammi Kapoor and Mala Sinha

19. Bade Hain Dil Ke Kale,

Haan Yahi, Neeli Si Ankhon Wale,

Soorat Buri Ho Bura Nahin Dil Mera,

Na Ho Yakeen Azmale,

Meri Jaan Wah Wah Wah,

Meri Jaan Wah Wah Wah Wah,

Film – Dil Deke Dekho – Released 1959

Actors – Shammi Kapoor, Asha Parekh, and Others

20.  Yeh Chand Sa Roshan Chehra,

Zulfon Ka Rang Sunahara,

Yeh Jheel Si Neeli Ankhen,

Koi Raaz Hai Inmein Gahara,

Tareef Karoon Ka Uski, Jisne Tumhein Banaya

Film – Kashmir Ki Kali – Released 1964

Actors – Shammi Kapoor, Sharmila Tagore and Others

21.  Lal Chhadi Maidan Khadi,

Kya Khoob Ladi Kya Khoob Ladi

Hum Dil Se Gaye Hai,

 Hum Dil Se Gaye, Hum Jaan Se Gaye,

Jab Ankh Mili Aur Baat Badi,

Lal Chhadi, Maidan Khadi                                    

Film – Jaanwar – Released 1965

Actors – Shammi Kapoor – Rajshree and Others

22.  Teri Neeli Neeli Ankhon Ke Dil Pe Teer Chal Gaye,

Chal Gaye, Chal Gaye, Chal Gaye,

Yeh Dekh Ke Duniya Walon Ke,

Dil Jal Gaye, Jal Gaye, Jal Gaye, Jal Gaye,

Film – Jaane Anjaane – Released 1971

Actors – Shammi Kapoor and Leena Chandavarkar

23.  Jane Kaise Sapno Mein Kho Gayi Akhiyaan,

Main To Hoon Jagi Mori So Gayi Akhiyaan

Film – Anuradha – Released 1960

Actors – Leela Naidu and Balraj Sahni

24. Ankhon Mein Tum, Ankhon Mein Tum, Dil Mein Tum Ho,

Tumhari Marzi, Mano Ke Na Mano, Haan Mano Ke Na Mano,

O’, O’, O’, O, Kab Se Yeh Dil, Dil Tumhara, Yeh Raz-E-Dil,

Tum Jano Ke Na Jano, Tum Jano Ke Na Jano,

Film– Half Ticket – Released 1962

Actors – Kishore Kumar and Madhubala

25.  Aap Yunhi Agar Humse Milte Rahe,

Dekhiye Ek Din Pyar Ho Jayega,

Aap Yunhi Agar Humse Milte Rahe,

Dekhiye Ek Din Pyar Ho Jayega,

Aisi Baaten Na Kar O’ Haseen Jadugar,

Mera Dil Teri Ankhon Mein Kho Jayega

Film – Ek Musafir Ek Haseena – Released 1962

Actors – Joy Mukherji and Sadhana

26.  Bahut Shukriya, Badi Meherbani,

Meri Zindagi Mein, Huzoor Aap Aye,

Kadam Choom Loon Ya, Yeh Ankhen Bichha Doon,

Karun Kya Yeh Meri, Samajh Mein Na Aye, Bahut Shukriya

Film – Ek Musafir Ek Haseena – Released 1962

Actors – Joy Mukherji and Sadhana

27. Chehre pe Khushi Chha Jati Hai,

Ankhon Mein Suroor Aa jaata Hai,

Jab Tum Mujhe Apna Kahte Ho,

Apne Pe Guroor Aa Jaata Hai,

Chehre pe Khushi Chha Jati Hai,

Film – Waqt – Released 1965

Actors – Sadhana, Sunil Dutt, Raj Kumar,

Sharmila Tagore, Shashi Kapoor, and Others

28. Jaan Pehchan Ho, Jeena Asaan Ho,

Dil Ko Churane Wale Ankh Na Churao

 Naam To Batao, Jaan Pehchan Ho,

Film – Gumnaam – Released 1965

Actors – Laxmi Chhaya and Others

29. Phool Ban Jaoonga Shart Ye Hai Magar,

Apni Zulfon Mein Mujhko Saja Lijiye,

Khwab Ban Jaoongi Shart Yeh Hai Magar,

Apni Ankhon Mein Mujhko  Basa Lijiye

Film – Pyar Kiye Ja – Released 1966

Actors – Shashi Kapoor and Rajshree (South)

30. Lakhon Hain Yahan Dilwale,

Aur Pyar Nahin Milta,

Ankhon Mein Kisiki Wafa Ka,

Ikraar Nahin Milta,

Film – Kismat – Released 1968

Actors – Biswajeet and Babita

31.  Chanda Hai Tu, Mera Sooraj Hai Tu,

O’ Meri Ankhon Ka Tara Hai Tu

 Chanda Hai Tu, Mera Sooraj Hai Tu.

 Film – Aradhana  – Released 1969

Actors – Sharmila Tagore and Child Artist     

32.  Humne Dekhi Hain Un Ankhon Ki Mahakati Khushboo,

Haath Se Chhoo Ke Ise Rishton Ka Ilzaam Na Do,

Sirf Ehsaas Hai Yeh Rooh Se Mehsoos Karo,

Pyar Ko Pyar Hi Rahane Do Koi Naam Na Do,

Humne Dekhi Hai

Film – Khamoshi – Released 1969

Actors – Snehlata, Rajesh Khanna, and Waheeda Rehman

33. Jeevan Se Bhari Teri Ankhen,

Majboor Karen Jeene Ke Liye, Jeene Ke Liye,

Saagar Bhi Tarasate Rahate Hain,

Tere Roop Ka Ras Peene Ke Liye, Peene Ke Liye,

Jeevan Se Bhari Teri Ankhen

Film – Safar – Released  1970

Actors – Rajesh Khanna and Sharmila Tagore

34. Gulabi Ankhen Jo Teri Dekhi, Sharabi Yeh Dil Ho Gaya,

Sambhalo Mujhko, O’ Mere Yaaron, Sambhana Mushkil Ho Gaya

Film – The Train – Released 1970

Actors – Rajesh Khanna and Nanda

35. Duniya Mein Pyar Ki Sabko Zaroorat Hai, Dil De Dil Le,

Yahi Mohabbat Hai, Karle Pyar Karle, Ankhen Chaar Karle,

Karle Pyar Karle, Ankhen Chaar Karle,

Film – Sachcha Jhootha – Released 1970

Actors – Rajesh Khanna, Mumtaz.

Vinod Khanna, and Others

36.  Maine Tere Liye Hi Saat Rang Ke Sapne Chune,

Sapne Surile Sapne,Kuchh Hanste Ke, Kuchh Gham Ke,

Teri Ankhon Ke Saye Churaye, Rasilee, Yaadon Ne,

Maine Tere Liye Hi Saat Rang Ke Sapne Chune, Sapne Surile Sapne,

Film – Anand – Released 1971

Actors – Rajesh Khanna, Amitabh Bachchan,

Ramesh Deo,  and Seema Deo

37.  Teri Ankhon Ki Chahat Mein,

To Main Sab Kuchh Luta Doonga,

Mohabbat Kaise Ki Jati Hai, Mohabbat Kaise Ki Jati Hai,

Main Duniya Ko, Dikha Doonga,

Teri Ankhon Ki Chahat Mein,

Film – Janta Hawaldar – Released 1979

Actors – Rajesh Khanna and Yogita Bali

38. Ankhon Mein Humne Aap Ke Sapne Sajaye Hain,

Palkein Utha Ke Aap Ne Jadu Jagaye Hain,

Sapna Bhi Aap Hi Hain, Haqeeqat Bhi Aap Hain,

Bas Aap Aap Aap Hi Mujh Mein Samaye Hain,

Film – Thodi Si Bewafai – Released 1980

Actors – Rajesh Khanna and Shabana Azmi

39. Milo Na Tum To Hum Ghabrayein,

Milo To Ankh Churayen,

Hamen Kya Ho Gaya Hai, Hame Kya Ho Gaya Hai,

Film – Heer Ranjha – Released 1970

Actors – Priya Rajvansh and Raj Kumar

40. Raat Kali Ik Khwab Mein Ayi, Aur Gale Ka Haar Hui,

Subah-O  Ko Jab Hum Neend Se Jage, Ankh Unhi Se Chaar Hui

Raat Kali Ik Khwab Mein Ayi, Aur Gale Ka Haar Hui,

Film – Buddha Mil Gaya – Released 1971

Actors – Navin Nischal and Archana

41. Main Doob Doob Jata Hoon, Sharbati Teri Ankhon Ki,

Jheel Si Gehrayi Mein, Main Doob Doob Jata Hoon,

Film – Blackmail – Released 1973

Actors – Shatrughan Sinha and Rakhee

42. Shirdi Wale, Sai Baba, Aya Hai Tere Dar Pe Sawali,

Lab Pe Duayen, Ankhon Mein Ansoo,

Dil Mein Umeedein, Par Jholi Khali,

Shirdi Wale, Sai Baba, Aya Hai Tere Dar Pe Sawali,

Film – Amar Akbar Anthony – Released 1977

Actors – Rishi Kapoor and Others

43.  Ankhon Mein Kajal Hai, Kajal Mein, Mera Dil Hai,

Ankhon Mein Kajal Hai,Kajal Mein, Mera Dil Hai,

To Chalo Dil Mein Bitha Ke Tumhe, Tumse Hi Pyar Kiya Jaye,

Ankhon Mein Kajal Hai, Kajal Mein, Mera Dil Hai,

To Chalo Dil Mein Bitha Ke Tumhe, Tumse Hi Pyar Kiya Jaye,

Film – Doosra Admi – Released 1977

Actors – Rishi Kapoor and Neetu Singh

44. Chehra Hai Ya Chand Khila Hai,

Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya,

Sagar Jaisi, Ankhon Wali,

Yeh To Bata Tera Naam Hai Kya

Chehra Hai Ya Chand Khila Hai,

Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya,

Sagar Jaisi, Ankhon Wali,

Yeh To Bata Tera Naam Hai Kya

Film – Sagar – Released 1985

Rishi Kapoor and Dimple Kapadia

45. Aapki Mahaki Hui, Zulf Ko Kahate Hain Ghata,

Aapki Madhbhari Aankhon Ko Kanwal Kahate hain,

Main To Kuchh Bhi Nahin, Tumko Hasin Lagti Hoon,

Isko Chahat Bhari Nazron Ka Amal Kahate Hain

Film – Trishul – Released 1978

Actors – Sanjeev Kumar and Waheeda Rehman

46. Akhiyon Ke Jharokhon Se, Maine Dekha Jo Sanware,

Tum Door Nazar Aye, Badi Door Nazar Aye,

Bandh Kar Ke Jharokhon Ko, Zara Baithi Jo Sochane,

Man Mein Tumhi Muskaye, Man Mein Tumhi Muskaye,

Film – Akhiyon Ke Jharokhon Se – Released 1978

Actors – Ranjita and Sachin

47. Aapki Ankhon Mein Kuchh Mahke Hue Se Raaz Hain,

Apse Bhi Khoobsurat, Apke Andaz Hain,

Aapki Ankhon Mein Kuchh Mahke Hue Se Raaz Hain,

Film – Ghar – Released 1978

Actors – Vinod Mehra and Rekha

48.  In Ankhon Ki Masti Ke, Mastane Hazaron Hain,

Masane Hazaron Hain, In Ankhon Se Vabasta,

Afsane Hazaron Hain, In Ankhon Ki Masti Ke,

Film – Umrao Jaan – Released 1981

Actors – Rekha, Farooq Shaikh, and Others

49. Ankh Milti Hai To Dil Machalta Hai Kya,

Tumko Maloom Ho To Batao Zara,

Ankh Meri Kisi Se Mili Hi Nahin,

Dil Machlata Bhi Hai Yeh Mujhe Kya Pata,

Film Mehandi Rang Layegi   Released 1982

Actors – Jeetendra and  Rekha

50. Dil Mein Meethi Meethi,

Machati Hai Hulchul, Hulchul,

Dekhoon Tujhko Jyon Hi,

Ho Jaoon Paagal, Paagal,

Tu Kadam rakhe Jahan Par,

Dil Mera Jhuke Wahan Par,

Mujhse Hee Mujhe Churane Wale,

Haan Boom Boom, Jab Bhi Milte Hain Hum Tum,

Ankhon Ankhon Mein Hote Hain Gum,

Dil Bole Boom Boom

Film – Star – Released 1982

Actors – Rati Agnihoti and Kumar Gaurav

51. Khambhe Jaisi Khadi Hai, Ladki Hai Ya Chhadi Hai,

Shola Hai, Phuljadi Hai, Pattakhe Ki Ladi Hai,

Ankhon Mein Gussa Hai, Labon Pe Gali Hai,

Dekho Zara Dekho Ye,  Khud Ko Samajti Hai Kya

Film – Dil – Released 1990

Actors – Amir Khan, Madhuri Dixit and Others

52. Dekha Hai Pahali Baar, Sajan Ki Ankhon Mein Pyar,

Ab Jake Aya Mere, Bechain Dil Ko Qarar,

Dilbar Tujhse Milne Ko, Kab Se Thi Main Bekarar,

Ab Jake Aya Mere, Bechain Dil Ko Qarar,

Film – Sajan – Released 1991

Actors – Madhuri Dixit and Salman Khan

53. Yeh Kali Kali Ankhen, Yeh Gore Gore Gaal,

Yeh Teekhi Teekhi Nazren, Yeh Hirni Jaise Chaal,

Dekha Jo Tujhe Janam, Hua Hai Bura Haal

Yeh Kali Kali Ankhen, Yeh Gore Gore Gaal,

Film – Baazigar – Released 1993

Actors – Shahrukh Khan and Kajol

54.  Bholi Si Soorat, Ankhon Mein Masti, Door K

hadi Sharmaye, Hai Hai,

Ek Jhalak Dikhlaye Kabhi,

Kabhi Anchal Mein Chhup Jaye, Hai Hai,

Meri Nazar Se Tum Dekho To, Yaar Nazar Woh Aye,

Film – Dil To Pagal Hai – Released 1997

Actors – Shahrukh Khan, Madhuri Dixit,

and Karisma Kapoor

55.  Ankhen Khuli Ho Ya Ho Bandh Deedar Unka Hota Hai,

Kaise Kahoon Main O’Yaara, Yeh Pyar Kaise Hota Hai,

Film – Mohabbatein – Released 2000

Actors – Shahrukh Khan, Aishwarya Rai,

Jimmy Shergill, Uday Chopra, Jugal Hansraj,

Preeti Jhangiani, Kim Sharma, Shamita Shetty, and Others

56.  Say Shava Shava, Say Shava Shava,

Roop Hai Tera Sona Sona,

Soni Teri Payal, Chhan Chhana Chhan Aise Chhanke,

Karde Sabko Ghayal, Hey Keh Raha Ankhon Ka Kajal,

Ishq Mein Jeena Marna, Say Shava Shava,

Mahiya Ve Shava Shava

Film – Kabhi Khushi Kabhi Gham – Released 2001

Actors – Amitabh Bachchan, Jaya Bachchan,

Shahrukh Khan, Kajol, Priety Zinta, and Others

57.  O’ Re Kanchi, Kanch Ki Gudiya,

Hothon Pe Bande Prem Ki Pudiya,

Na Unhe Khole, Na Moonh Se Bole,

Palkon Pe Rakkhe, Ankhon Se Bole,

Film – Asoka – Released 2001

Actors – Shahrukh Khan and Kareena Kapoor

58. Jadu Bhari Ankhon Wali Suno,

Tum Aise Mukhe Dekha Na Karo

Film – Dastak – Released 1996

Actors – Sushmita Sen and Mukul Dev

59.  Ankhon Ki Gustakhiyaan Maaf Hon,

Film – Hum Dil De Chuke Sanam – Released 1999

Actors – Salman Khan and Aishwarya Rai

60. Ankh Hai Bhari Bhari Aur Tum,

Muskurane Ki Baat Karte Ho,

Zindagi Khafa Khafa Aur Tum,

Dil Lagane Ki Baat Karte Ho

Film – Tum Se Achchha Kaun Hai Released 2002

Actors – Nakul Kapoor, Kim Sharma and Others

61.  Ankhon Mein Teri Ajab Si Ajab Si Adayen Hain,

Dil Ko Banade Jo Patang Sansen Teri Woh Hawayein Hain,

Film – Om Shanti Om – Released 2007

Actors – Shahrukh Khan, Deepika Padukone, and Others

62.  Woh Haseena, Woh Neelam Pari, Kar Gayi Kaisi Jadoogari,

Neend In Ankhon Se Chhen Lee Hai, Dil Mein Bechainiyaan Hain Bhari

Film – Om Shanti Om – Released 2007

Actors – Shahrukh Khan and Others

(Image: Google Images)

Geeta Chadda

Recent Posts

65 Mere मेरेWord Songs For Antakshari In Hindi

“मेरी जान में तेरी जान है ओ साथी मेरे” 1. मेरे दिल की घड़ी करे… Read More

4 weeks ago

50 Kabhi कभी Word Songs In Hindi

“छोटी सी ये दुनिया, पहचाने रास्ते हैं, तुम कहीं तो मिलोगे, कभी तो मिलोगे, तो… Read More

2 months ago

55 “Yaad” Word Songs List In English

“Jab Chali Thadi Hawa, Jab Uthi Kali Ghata, Mujhko Ae Jaan-E-Wafa, Tum Yaad Aye” 1. … Read More

2 months ago

55 Naam नाम Word Songs List In Hindi

“कोई लड़की मुझे कल रात सपने में मिली, बड़ी प्यारी सी सूरत थी, भला सा… Read More

2 months ago

Kahan कहां Word Songs List In Hindi

“ये कहां आ गये हम, यूँ ही साथ साथ चलते तेरी बाहों में है जानम,… Read More

2 months ago

75 Duniya दुनिया Word Songs For Antakshari

“इक नई सुबह दुनिया में आने को है” 1. ये जिंदगी के मेले, ये जिंदगी… Read More

3 months ago