Zulf (Hair) Word Bollywood Songs List

“Aapki Mahaki Hui Zulf Ko Kahate Hain Ghata,

Aapki Madhbhari Aankhon Ko Kanwal Kahate hain”

1.  Chehra Hai Ya Chand Khila Hai,

Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya,

Sagar Jaisi, Ankhon Wali,

Yeh To Bata Tera Naam Hai Kya

Film – Sagar – Rishi Kapoor and Dimple Kapadia

2. Teri Zulfen Pareshan, Teri Nazren Pashemaan,

Teri Zulfen Pareshan, Teri Nazren Pashemaan,

Kahin Ye Pyar Hi Na Ho,Kahin Yeh Pyan Hi Na Ho,

Naseeb-E-Dushmana- Teri Zulfen Pareshan,

Teri Nazren Pashemaan,

Film – Preet Na Jane Reet –

Actors – Shammi Kapoor and B. Saroja Devi

3.  Aye Hain Door Se, Milne Huzoor Se,

Aise Bhi Chup Na Rahiye, Kahiye Ji Kuchh To Kahiye,

Din Hai Ke Raat Hai,

Tumse Mehmaan Ka, Mujhpe Ahsaan Kya,

Lakhon Hi Zulfon Wale, Aate Hain Ghera Daale,

Meri Kya Baat Hai,

Film – Tumsa Nahin Dekha –

Actors – Shammi Kapoor and Amita

4.  Yeh Chand Sa Roshan Chehra, Zulfon Ka Rang Sunahara,

Yeh Jheel Si Neeli Ankhen, Koi Raaz Hai Inmein Gahara,

Tareef Karoon Ka Uski, Jisne Tumhein Banaya

Film – Kashmir Ki Kali –

Actors – Shammi Kapoor, Sharmila Tagore, and Others

5.  Oh Haseena Zulfon Wali Jane Jahan,

Doondati Hain Kafir Ankhen Kiska Nishaan,

Mehfil Mehfil Ah Shama, Phirti Ho Kahan,

Mehfil Mehfil Ah Shama, Phirti Ho Kahan,

Woh Anjana, Doondati Hoon, Woh Deewana Doondati Hoon,

Jala Kar Jo Chhup Gaya Hai, Woh Parwana Doondati Hoon

Film – Teesri Manzil – Actors – Shammi Kapoor,

Helen, Asha Parekh, and Others                                                     

6.  Mere Dil Mein Aaj Kya Hai Tu Kahe To Main Bata Doon,

Teri Zulf Phir Sawaroon, Teri Maang Phir Saja Doon,

Mere Dil Mein Aaj Kya Hai Tu Kahe To Main Bata Doon,

Film-DaagActors-Rajesh Khanna and Sharmila Tagore

7.  Yeh Reshami Zulfen, Yeh Sharbati Ankhen,

Inhen Dekhkar Ji Rahe Hain Sabhi

Film – Do Raaste –

Actors – Rajesh Khanna, Mumtaz, and Others

8.  Main Pyar Ka Rahi Hoon, Teri Zulf ke Saaye Mein,

Kuchh Der Thahar Jaoon,

Tum Ek Musafir Ho, Kab Chhod Ke Chal Do Ge,

Yeh Soch Ke Ghabraoon,

Main Pyar Ka Rahi Hoon

Film – Ek Musafir Ek Haseena –

Actors – Joy Mukherji and Sadhana

9.  Nazneen Bada Rangeen Hai Waada Tera,

O’Haseen Hai Kidhar Ka Irada Tera,

Ankh Phirti Hui, Zulf Udhati Hui,

Faasla Kyon Hai Zyada Tera,

Humdum Mere, Khel Na Jano, Chahat Ke Ikraar Ko,

Jane-Jahan, Yaad Karoge, Ik Din Mere Pyar Ko,

Film – Phir Wohi Dil Laaya Hoon –

Actors – Joy Mukherji, Asha Parekh, and Others

10.  Zulf Ki Chhaon Mein Chehre Ka Ujala Lekar,

Teri Veeran Si RaatonKoSajaya Humne,

Meri Raaton Mein Jalaye Tere Jalwon Ne Chirag,

Teri Raaton Ke Liye Dil Ko Jalaya Humne,

Film – Phir Wohi Dil Laaya Hoon –

Actors – Joy Mukherji, Asha Parekh and Others

11.  Anchal Mein Saja Lena Kaliyaan,

Zulfon Mein Sitare Bhar Lena,

Aise Hi Kabhi Jab Shaam Dhale,

Tab Yaad Hamein Bhi Kar Lena,

Anchal Mein Saja Lena Kaliyaan,

Film – Phir Wohi Dil Laaya Hoon –

Actors – Joy Mukherji, Asha Parekh and Others

12.  Ankhon Mein Masti Sharab Ki,

Kali Zulfon Mein Raten Shabab Ki,

Jane Ayi Kahan Se Toot Ke,

Mere Daman Mein Pankhuri Gulab Ki

Ankhon Mein Masti Sharab Ki,

Film – Chhaya – Actors – Sunil Dutt and Asha Parekh

13. Teri Zulfon Se Judai To Nahin Mangi Thi,

Qaid Mangi Thi, Rihayi To Nahin Mangi Thi,

Teri Zulfon Se,

Film – Jab Pyar Kisise Hota Hai

Actors – Dev Anand and Asha Parekh

14.  Chehre Pe Giri Zulfen Kehdo To Hata Doon Main,

Gustakhi-Maaf, Gustakhi Maaf,

Ik Phool Tere Jhoorhe Mein,  Kehdo To Laga Doon Main,

Gustakhi-Maaf, Gustakhi Maaf    

Film – Suraj – Actors – Rajendra Kumar and Vyjayantimala.

15.  Bikhra Ke Zulfen Chamn Mein Na Jaana,

Kyon?

Isliye, Ke Sharma Na Jayen, Yeh Phoolon Ke Saaye,

Mohabbat Ke Nagmen Tum Bhi Na Gaana,

Kyon?

Isliye Ke BhanwaraTumhari Hansi Na Udaye,

Film – Nazrana – Actors – Raj Kapoor and Vyjayantimala

16.  Udhe Jab Jab Zulfen Teri, Kanwariyon Ka Dil Machale,

Kanwariyon Ka Dil Machale, Jind Meriye,

Film – Naya Daur – Actors – Dilip Kumar, Vyjayantimala Others

17.  Aapki Mahaki Hui, Zulf Ko Kahate Hain Ghata,

Aapki Madhbhari Aankhon Ko Kanwal Kahate hain,

Main To Kuchh Bhi Nahin, Tumko Hasin Lagti Hoon,

Isko Chahat Bhari Nazron Ka Amal Kahate Hain

Film – Trishul – Actors – Sanjeev Kumar aur Waheeda Rehman

18.  Tumhari Zulf Ke Saaye Mein Shaam Kar Loonga,

Safar Is Umr Ka Pal Mein Tamam Kar Loonga,

Tumhari Zulf Ke Saaye Mein Shaam Kar Loonga,

Film – Naunihal –

Actors – Sanjeev Kumar and Indrani Mukherjee

19.  Na Jhatako Zulf Se Paani, Ye Moti Toot Jayenge,

Tumhara Kuchh Na Bigadega, Magar Dil Toot Jayenge,

Film – Shehnai – Actors – Biswajeet and Rajshree

20.  Yeh Hai Reshmi, Zulfon Ka Andhera Na Ghabraiye,

Jahan Tak Mahak Hai, Mere Gesuon Ki Chale Aaiye,

Yeh Hai Reshmi,

Film – Mere Sanam – Actors – Biswajeet and Mumtaz

21.  Zulfon Ki Ghata Lekar, Sawan Ki Pari Ayi,

Barsegi Tere Dilpar, Hans Hans Ke Jo Laharayi,

Zulfon Ki Ghata Lekar, Sawan Ki Pari Ayi,

Film – Reshmi Rumal – Actors – Manoj Kumar and Shakila

22.  Zulfon Ko Hata Le Chehre Se,

Thoda Sa Ujala Hone De,

Suraj Ko Zara Sharminda Kar,

Moonh Raat Ka Kala Hone De,

Zulfon Ko Hata Le Chehre Se,

Thoda Sa Ujala Hone De,

Film – Sawan Ki Ghata –

Actors – Manoj Kumar and Sharmila Tagore

23. Ye Zulf Agar Khulke Bikhar Jaye To Achchha,

Is Raat Ki Taqdeer Sanwar Jaye To Achchha,

Ye Zulf Agar Khulke Bikhar Jaye To Achchha,

Film – Kaajal – Actors – Rajkumar and Helen

24.  Chhedo Na Meri Zulfen, Sab Log Kya Kahenge,

Sab Log Kya Kahenge,

Humko Deewana Tumko, Kaali Ghata Kahenge,

Kaali Ghata Kahenge,

Film – Ganga Ki Laharen –

Actors – Kishore Kumar and Kumkum

25.  Phool Ban Jaoonga Shart Ye Hai Magar,

Apni Zulfon Mein Mujhko Saja Lijiye,

Khwab Ban Jaoongi Shart Yeh Hai Magar,

Apni Ankhon Mein Mujhko  Basa Lijiye

Film – Pyar Kiye Ja –

Actors – Shashi Kapoor and Rajshree (South)

26.  In Baharon Mein Akele Na Phiro,

Raah Mein Kali Ghata Rok Na Le,

Mujhko Yeh Kali Ghata Rokegi Kya,

Yeh To Khud Hai Meri Zulfon Ke Tale

In Baharon Mein Akele Na Phiro,

Film – Mamta – Actor – Dharmendra and Suchitra Sen

27.  Yeh Zulf Kaisi Hai, Zanjeer Jaisi Hai,

Woh Kaisi Hogi Jiski Tasveer Aisi Hai,

Yeh Ankh Kaisi Hai, Hai Teer Jaisi Hai,

Woh Kaisa Hoga Jiski Tasveer Aisi Hai,

Film – Piya Ka Ghar –

Actors – Anil Dhawan and Jaya Bhaduri

(Image: Google Images)

Geeta Chadda

Recent Posts

65 Mere मेरेWord Songs For Antakshari In Hindi

“मेरी जान में तेरी जान है ओ साथी मेरे” 1. मेरे दिल की घड़ी करे… Read More

3 weeks ago

50 Kabhi कभी Word Songs In Hindi

“छोटी सी ये दुनिया, पहचाने रास्ते हैं, तुम कहीं तो मिलोगे, कभी तो मिलोगे, तो… Read More

2 months ago

55 “Yaad” Word Songs List In English

“Jab Chali Thadi Hawa, Jab Uthi Kali Ghata, Mujhko Ae Jaan-E-Wafa, Tum Yaad Aye” 1. … Read More

2 months ago

55 Naam नाम Word Songs List In Hindi

“कोई लड़की मुझे कल रात सपने में मिली, बड़ी प्यारी सी सूरत थी, भला सा… Read More

2 months ago

Kahan कहां Word Songs List In Hindi

“ये कहां आ गये हम, यूँ ही साथ साथ चलते तेरी बाहों में है जानम,… Read More

2 months ago

75 Duniya दुनिया Word Songs For Antakshari

“इक नई सुबह दुनिया में आने को है” 1. ये जिंदगी के मेले, ये जिंदगी… Read More

2 months ago