Categories: Antakshari

60 “Y” Alphabet Songs List

“Yahin Par Kabhi Aap Humse Mile The”

1.  Yeh Mahalon Ye Takhton Yeh Taajon Ki Duniya,

Yeh Insaan Ke Dushman Samajon Ki Duniya,

Yeh Daulat Ke Bhookhe Ravajon Ki Duniya,

Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai

Film – Pyasa – Actors – Guru Dutt, Waheeda Rehman,

Kumkum, Rehman, and Others

2.  Yahi Hai Woh Saanjh Aur Savera,

Yahi Hai Woh Saanjh Aur Savera,

Jiske Liye Tadpe Hum Saara Jeevan Bhar,

Yahi Hai Woh Saanjh Aur Savera,

Film – Saanjh Aur Savera –

Actors – Guru Dutt and, Meena Kumari  

3. Yeh Jhuke Jhuke Naina, Ya Lat Balkhati,

To Dil Kyon Na Mera, Deewana Ho Tera,

Yeh Jhuke Jhuke Naina,

Film – Bharosa – Actors – Guru Dutt and Asha Parekh

4. Ye Lo Main Hari Piya, Hui Teri Jeet Re,

Kahe Ka Jhagadaa Baalam Nai Nai Preet Re,

Ye Lo Main Hari Piya,

Film – Aar Paar – Actors – Guru Dutt and Shyama

5. Ye Dil Ki Lagi Kam Kya Hogi,

Ye Ishq Bhala Kam Kya Hoga,

Jab Raat Hai Aisi Matwali,

Phir Subah Ka Aalam Kya Hoga,

Phir Subah Ka Alam Kya Hoga.

Film – Mughal-E-Azam

Actors  – Nigar Sultana, Dilip Kumar, Madhubala and Others

6.  Yeh Mera Deewanapan Hai, Ya Mohabbat Ka Suroor,

Yeh Mera Deewanapan Hai, Ya Mohabbat Ka Suroor,

Tu Naa Pehchane To Hai Ye Teri Nazron Ka Kusoor,

Yeh Mera Deewanapan Hai,

Film – Yahudi – Actors – Dilip Kumar and Meena Kumari

7. Yeh Zindagi Ke Mele, Yeh Zindagi Ke Mele,

Duniya Mein Kum Na Honge, Afsos Hum Na Honge,

Yeh Zindagi Ke Mele,        

Film – Mela – Actors – Dilip Kumar, Nargis, and Others

8.  Ye Desh Hai Veer Jawano Ka, Albelon Ka, Mastano Ka,                           

Is Desh Ka Yaaron Kya Kahana, Ye Desh Hai Duniya Ka Gahana,

Film – Naya Daur – Actors – Dilip Kumar, Ajit, and Others

9.  Yeh Hawa Ye Raat Ye Chandni,

Teri Har Ada Pe Nisar Hai,

Mujhe Kyon Naa Ho Teri Aarzoo,

Teri Justaju Mein Bahar Hai

Yeh Hawa Ye Raat Ye Chandni,

Film – Sangdil – Actors – Dilip Kumar and Madhubala

10.  Yeh Chand Sa Roshan Chehra, Zulfon Ka Rang Sunahara,

Yeh Jheel Si Neeli Ankhen, Koi Raaz Hai Inmein Gahara,

Tareef Karoon Ka Uski, Jisne Tumhein Banaya

Film – Kashmir Ki Kali –

Actors – Shammi Kapoor, Sharmila Tagore, and Others

11. Yahoo, Yahoo, Chahe Koi Mujhe Junglee Kahe,

Kahne Do JI Kahta Rahe, Hum Pyar Ke Toofano Mein Gire Hain

Hum Kya Karen, Yahoo, Yahoo, Chahe Koi Mujhe Junglee Kahe,

Kahne Do JI Kahta Rahe, Hum Pyar Ke Toofano Mein Gire Hain

Hum Kya Karen,

Film – Junglee  – Actors – Shammi Kapoor and Saira Bano

12.  Yaar Chulbula Hai, Haseen Dilruba Hai,

Jhooth Bolta Hai, Magar Zara Zara,

To Bolo Ji, Phir Kya Kare Deewana,

Yeh Kise Pata Hai, Yeh Husn Ki Ada Hai,

Tumko Dil Diya Hai, Magar Zara Zara,

To Dekho Ji, Dokhe Mein Aa Na Jaana

Film – Dil Deke Dekho –

Actors – Shammi Kapoor, Asha Parekh and Others

13.  Yeh Duniya Wale Poochhenge,

Mulaqat Hui, Kya Baat Hui,

Yeh Baat Kisise Na Kehna, Yeh Duniya wale Poochhenge,

Film – Mahal – Actors – Dev Anand and Asha Parekh

14.  Yaad Kiya Dil Ne Kahan Ho Tum,

Jhoomti Bahar Hai Kahan Ho Tum,

Pyar Se Pukar Lo Jahan Ho Tum,

Pyar Se Pukar Lo Jahan Ho Tum

Film – Patita – Actors – Dev Anand and Usha Kiran

15. Yeh Raat Yeh Chandni Phir Kahan,

Sun Ja Dil Ki Dastaan,

Chandni Raaten, Pyar Ki Baaten,

Kho Gayi Jane Kahan,

Yeh Raat Yeh Chandni Phir Kahan,

Sun Ja Dil Ki Dastaan,

Film – Jaal – Actors – Dev Anand, and Geeta Bali

16. Yeh Ankhen Uff Yumma, Yeh Soorat Uff Yumma,

Pyar Kyon Na Hoga, Yeh Adayen Uff Yumma,

Yeh Mausam Uff Yumma,

Yeh Dhadkan Uff Yumma, Kaise Dil Ko Rokoon,

Koi Thame, Uff Yumma,

Film – Jab Pyar Kisise Hota Hai,

Kalakaar – Dev Anand Aur Asha Parekh

17.  Yeh Dil Na Hota Bechara, Kadam Na Hote Awara,

Jo Khoobsurat Koi Apna, Humsafar Hota

Yeh Dil Na Hota Bechara,

Film – Jewel Thief – Dev Anand, Tanuja and Others

18. Yaad Na Jaaye, Beete Dino Ki, Jaake Na Aye Jo Din,

Dil  Kyon Bulaye Unhe, Dil Kyon Bulaye

Film – Dil Ek Mandir –

Actors – Rajendra Kumar and Meena Kumari

19.  Yahan Koi Nahin Tera Mere Siva,

Kahati Hai Jhoomti Gaati Hawa,

Tu Sabko Chhod Kar Aa Jao, Aa Jao, Aa Jao,

Tu Sabko Chhod Kar Aa Jao, Aa Jao, Aa Jao,

Film – Dil Ek Mandir –

Actors – Rajendra Kumar and Meena Kumari

20. Ye Ansoo Mere Dil Ki Zubaan Hain,

Ye Ansoo Mere Dil Ki Zubaan Hain,

Main Ro Doon To Ro Dein Ansoo,

Main Hans Doon To Hans Dein Ansoo,

Ye Ansoo Mere Dil Ki Zubaan Hain,

Film-Humrahi-Actors-Rajendra Kumar and Jamna

21. Yaad Mein Teri Jaag Jaag Ke Hum,

Raat Bhar Karvaten Badalte Hain

Har Taraf Dil Mein Teri Ulfat Ke,

Dheeme Dheeme Chirag Jalte Hain

Film – Mere Mehboob –

Actors – Rajendra Kumar and Sadhana

22. Yeh Mausam Bheega Bheega Hai,

Hawa Bhi Zyada Zyada Hai,

Kyon Na Machlega Dil Mera,

Tumko Paane Ka Irada Hai,

Yeh Mausam Bheega Bheega Hai,

Film – Dharti –

Actors- Rajendra Kumar and Waheeda Rehman

23. Yeh To Kaho Kaun Ho Tum,  Kaun Ho Tum,

Mujhse Poochhe Bina Dil Mein Aane Lage,

Mujhse Poochhe Bina Dil Mein Aane Lage,

Yeh To Kaho Kaun Ho Tum, Kaun Ho Tum,

Meethi Nazaron Se Bijlee Girane Lage,

Meethi Nazaron Se Bijlee Girane Lage,

Yeh To Kaho Kaun Ho Tum,  Kaun Ho Tum,

Film – Ashiq – Actors – Raj Kapoor and Padmini

24.  Yaad Ayi Adhi Raat Ko, Kal Raat Ki Tauba,

Dil Poochhta Jhoom Ke, Kis Baat Ki Tauba, Tauba,

Yaad Ayi Adhi Raat Ko

Film – Kanhaiya – Actors – Raj Kapoor and Nutan

25. Yeh Raat Bheegi Bheegi, Yeh Mast Fizayen,      

Utha Dheere Dheere Woh Chand Pyara Pyara

Kyon Aag Si Lagake, Gumsum Hai Chandni,

Sone Bhi Nahin Deta, Mausam Ka Yeh Ishara,

Film – Chori Chori – Actors – Raj Kapoor, and Nargis.      

26. Yun Hasraton Ke Daag Mohabbat Mein Dho diye,

Khud Dil Se Dil Ki Baat Chali, Aur Ro Diye,

Yun Hasraton Ke Daag,

Film – Adalat – Actors – Nargis, Pran, and Others

27. Yeh Zulf Agar Khulke Bikhar Jaye To Achchha,

Is Raat Ki Taqdeer Sanwar Jaye To Achchha,

Yeh Zulf Agar Khulke Bikhar Jaye To Achchha,

Film – Kaajal – Actors – Rajkumar and Helen

28. Yeh Hasrat Thi Ki Is Duniya Mein Bas Do Kaam Kar Jaate,

Tumhari Yaad Mein Jeete, Tumhare Gham Mein Mar Jaate,

Yeh Hasrat Thi Ki Is Duniya Mein Bas Do Kaam Kar Jaate,

Film – Nausher-Wane-Adil –

Actors – Raj Kumar and Mala Sinha

29. Yeh Mausam Rangeen Sama,

Thahar Zara O’Jaan-E-Jaan,

Tera Mera Mera Tera Pyar Hai,

To Phir Kaisa Sharmana,

Ruk To Main Jaoon Jaan-E-Jaan,

Mujhko Hai Inkaar Kahan,

Tera Mera, Mera Tera Pyar Sanam,

Na Ban Jaye Afsana,

Film- Modern Girl

Actors – Pradeep Kumar and Sayeeda Khan

30.  Yeh Zindagi Usiki Hai, Jo Kisika Ho Gaya,

Pyar Hi Mein Kho Gaya, Ye Zindagi Usiki Hai

Film – Anarkali –

Actors – Beena Rai and Pradeep Kumar

31.  Yeh Nayan Dare Dare, Yeh Jaam Bhare Bhare,

Zara Peene Do, Kal Ki Kisko Khabar,

Ik Raat Hoke Nidar, Mujhe Jeene Do,

Ye Nayan Dare Dare

Film – Kohra –

Actors – Biswajeet and Waheeda Rehman

32.  Yahi Woh Jagah Hai, Yahi Woh Fizayen,

Yahin Par Kabhi, Aap Hum Se Mile The,

Inhe Hum Bhala Kis Tarah Bhool Jayen,

Yahin Par Kabhi, Aap Hum Se Mile The,

Film – Yeh Raat Phir Na Ayegi –              

Actors – Biswajeet and Sharmila Tagore

33. Yeh Kya Hua, Kaise Hua, Kab Hua, Kyon Hua,

Jab Hua, Tab Hua, Chhorho, Yeh Na Socho, Yeh Kya Hua,

Film – Amar Prem –

Actors – Rajesh Khanna and Sharmila Tagore

34. Ye Jo Chilman Hai Dushman Hai Hamari,

Kitni Sharmilee, Kitni Sharmilee, Dulhan Hai Hamari,

Yeh Jo Chilman Hai,

Film-Mehboob Ki Mehandi-

Actors-Rajesh Khanna and Leena Chandavarkar

35. Yunhi Tum Mujhse Baat Karti Ho,

Ya Koi Pyar Ka Irada Hai,

Adayen Dil Hi Janta Hi Nahin,

Mera Humdum Bhi Kitna Sada Hai

Yunhi Tum Mujhse Baat Karti Ho,

Film – Sachcha Jhootha –

Actors – Rajesh Khanna, Mumtaz and Vinod Khanna

36.  Yeh Reshami Zulfen, Yeh Sharbati Ankhen,

Inhe Dekhkar Ji Rahe Hain Sabhi

Film – Do Raste – Actors – Rajesh Khanna and Mumtaz

37. Yeh Jo Mohbbat Hai, Yeh Unka Hai Kaam,

Mehboob Ka Jo Lete Hue Naam,

Film – Kati Patang –

Actors – Rajesh Khanna and Asha Parekh

38. Yeh Shaam Mastani, Madhosh Kiye Jaaye,

Mujhe Dor Koi Kheenche, Teri Ore Liye Jaaye,

Film – Kati Patang –

Actors – Rajesh Khanna and Asha Parekh

39.  Yeh Lal Rang Kab Mujhe Chhorhega,

Mera Gham, Kab Talak, Mera Dil Todega,

Yeh Lal Rang Kab Mujhe Chhorhega,

Film – Prem Nagar –

Actors – Rajesh Khanna and Hema Malini

40. Yahan Wahan Sare Jahan Mein Tera Raaj Hai,

Jawani Oh Deewani Tu Zindabaad,

Jawani Oh Deewani Tu Zindabaad,

Film – Aan Milo Sajna –

Actors – Rajesh Khanna and Asha Parekh

41. Yaar Ki Khabar Mil Gayi, Gayi,

Pyar Ki Nazar Mil Gayi, Gayi

Door Thi Bahut Manzil Apni,

 Paas Magar Mil Gayi, Gayi

Film – Ram Balram – Actors- Amitabh Bachchan – Rekha-

Sujit Kumar – Asit Sen and Others

42.  Yeh Kahan AA Gaye Hum, Yunhi Saath Saath Chalte,

Teri Bahon Mein Hain Janam, Mere Jism-O-Jaan Pigalte,

Film – Silsila – Actors – Amitabh Bachchan and Rekha

43. Yamma Yamma Ye Khoobsurat Sama,

Bas Aaj Ki Raat Hai Zindagi, Kal Hum Kahan Tum Kahan,

Film – Shaan – Actors -Amitabh Bachchan-Shashi Kapoor,

Parveen Babi, Bindiya Goswami, and Others

44. Yeh Pyar Tha Ya Kuchh Aur Tha,

Na Tujhe Pata Na Mujhe Pata

Film – Prem Rog –

Actors – Rishi Kapoor and Padmini Kolhapure

45. Yeh Galiyan Yeh Chaubara, Yahan Ana Na Dobara,

Ab Hum To Bhaye, Pardesi, Ke Tera Yahan Koi Nahin,

Ke Tera Yahan Koi Nahin,

Le Ja Rang Birangi Yaden, Apne Rone Ki Buniyaden,

Ke Hum To Bhaye Pardesi,

Ke Tera Yah Koi Nahin, Ke Tera Yah Koi Nahin

Film – Prem Rog –

Actors – Rishi Kapoor, Padmini Kolhapure, and Others

46. Yunhi Gate Raho, Muskurate Raho,

Gao Re Sab Jhoomke , Gao Re, Aao Re,

Yunhi Gate Raho, Muskurate Raho, Gao Re Sab Jhoomke,

Gao Re Aao Re

Film – Sagar –

Rishi Kapoor, Kamal Haasan, and Dimple Kapadia

47. Yeh Ladka Hai Allah Kaisa Hai Deewana,

Kitna Mushkil Hai Tauba Isko Samjhana,

Ke Dheere Dheere Bekarar Hota Hai,

Hote, Hote, Hote, Pyar Hota Hai

Film – Hum Kisise Kum Nahin –

Actors – Kajal Kirron and Tariq

48.  Yaad Meri Ayegi, Tujhko Bada Satayegi,

Zidd Yeh Jhoothi Teri Meri Jaan Leke Jayegi

Yaad Meri Ayegi,

Film – Ek Jaan Hain Hum –

Actor – Rajeev Kapoor and Divya Rana

49.  Yaad Aa Rahi Hai, Teri Yaad Aa Rahi Hai,

Yaad Ane Se Tere Jaane Se, Jaan Ja Rahi Hai,

Yaad Aa Rahi Hai, Teri Yaad Aa Rahi Hai,

Film – Love Story –

Actors – Kumar Gaurav and Vijeta Pandit

50. Yeh Tera Ghar Yeh Mera Ghar,

Kisiko Dekhana Ho Gar,

To Pehle Ake Maang Le, Teri Nazar, Meri Nazar,

Film-Saath Saath-

Actors-Farooq Shaikh and Deepti Naval

51.  Yeh Kya Jagah Hai Doston,

Yeh Kaunsa Dayaar Hai,

Had-E-Nigah Tak Jahan Gubbar Hi Gubbar Hai,

Gubbar Hi Gubbar Hai, Yeh Kya Jagah Hai Doston,

Yeh Kaunsa Dayaar Hai,

Film – Umrao Jaan – Actors – Rekha and Others

52.  Ye Khamoshiyan Ye Tanhaiyaan,

Mohabbat Ki Duniya Hai, Kitni Jawan,

Ye Khamoshiyan Ye Tanhaiyaan,

Mohabbat Ki Duniya Hai, Kitni Jawan,

Film-Ye Raste Hain Pyar Ke-

Actors-Sunil Dutt and Leela Naidu

53.  Yeh Mausam Ka Jadu Hai Mitwa,

Na Ab Dil Pe Kabu Hai Mitwa,

Naina Jismein Kho Gaye, Deewane Se Ho Gaye,

Nazara Ye Harsu Hai Mitwa,

Film – Hum Apke Hain Koun –

Actors – Salman Khan, Madhuri Dixit

54.  Yeh Haseen Vadiyaan, Yeh Khula Asmaan,

Aa Gaye Hum Kahan, Ae Mere Sajna,

Film – Roja – Actors – Arvind Swamy and Madhu

55. Yeh Raat Khush Naseeb Hai Jo Apne Chand Ko,

Kaleje Se Lagake So Rahi Hai,

Yahan To Gham Ki Sej Par Hamari Arzoo,

Akele Moonh Chhupa Ke Ro Rahi Hai,

Yeh Raat Khush Naseeb Hai,

Jo Apne Chand Ko, Kaleje Se Lagake So Rahi Hai,

Film – Aaina –

Actors – Jackie Shroff, Amrita Singh, and Juhi Chawla

56.  Yeh Din Kya Aye, Lage Phool Hansne, Dekho Basanti,

Hone Lage Mere Sapne, Dekho Basanti,

Film – Chhoti Si Baat –

Actors – Vidya Sinha, Amol Palekar, and Asrani.

57.  Yaar Bina Chain Kahan Re, Pyar Bina Chain Kahan Re,

Sona Nahin, Chandi Nahin, Yaar To Mila, Are Pyar Karle,

Film – Saaheb – Actors – Anil Kapoor and Amrita Singh

58. Yeh Raaten Yeh Mausam, Nadi Ka Kinara,

Yeh Chanchal Hawa,

Kaha Do Dilon Ne Ke Milkar Kabhi Hum,

Na Honge Juda,

Yeh Raaten Yeh Mausam, Nadi Ka Kinara,

Yeh Chanchal Hawa,

Film – Dilli Ka Thug –

Actors –  Kishore Kumar and Nutan

59.  Yaadon Ki Baraat Nikli Hai Aaj Dil Ke Dware,

Sapno Ki Shehnai Beete Dino Ko Pukare,

Chhedo Tarane Milan Ke Pyare Pyare, Sang Hamare,

Yaadon Ki Baraat Nikli Hai Aaj Dil Ke Dware,

Film – Yadon Ki Baarat –

Actors – Dharmendra, Vijay Arora, and Tariq Shah

60.  Yeh Kali Jab Talak, Phool Banke Khile,

Intezar, Intezar, Intezar Karo, Intezar Karo,

Intezar Woh Bhala Kya Kare Tum Jise,

Bekarar, Bekarar, Bekarar Karo, Bekarar Karo

Film – Aye Din Bahar Ke –

Actors – Dharmendra and Asha Parekh

(Pin courtesy Canva)

Geeta Chadda

Recent Posts

65 Mere मेरेWord Songs For Antakshari In Hindi

“मेरी जान में तेरी जान है ओ साथी मेरे” 1. मेरे दिल की घड़ी करे… Read More

3 weeks ago

50 Kabhi कभी Word Songs In Hindi

“छोटी सी ये दुनिया, पहचाने रास्ते हैं, तुम कहीं तो मिलोगे, कभी तो मिलोगे, तो… Read More

2 months ago

55 “Yaad” Word Songs List In English

“Jab Chali Thadi Hawa, Jab Uthi Kali Ghata, Mujhko Ae Jaan-E-Wafa, Tum Yaad Aye” 1. … Read More

2 months ago

55 Naam नाम Word Songs List In Hindi

“कोई लड़की मुझे कल रात सपने में मिली, बड़ी प्यारी सी सूरत थी, भला सा… Read More

2 months ago

Kahan कहां Word Songs List In Hindi

“ये कहां आ गये हम, यूँ ही साथ साथ चलते तेरी बाहों में है जानम,… Read More

2 months ago

75 Duniya दुनिया Word Songs For Antakshari

“इक नई सुबह दुनिया में आने को है” 1. ये जिंदगी के मेले, ये जिंदगी… Read More

2 months ago