Eyes Songs-Yeh Ankhen Uff Yumma

Jadoo Bhari Ankhon Ka Khumar Hai

1.Humne Dekhi Hain Un Ankhon Ki Mahakati Khushboo,

Haath Se Chhoo Ke Ise Rishton Ka Ilzaam Na Do,

Sirf Ehsaas Hai Yeh Rooh Se Mehsoos Karo,

Pyar Ko Pyar Hi Rahane Do Koi Naam Na Do,

Humne Dekhi Hai

Film – Khamoshi – Actors – Snehlata, Rajesh Khanna, and Waheeda Rehman

2.Gulabi Ankhen Jo Teri Dekhi, Sharabi Yeh Dil Ho Gaya,

Sambhaalo Mujhko, O’ Mere Yaaron, Sambhana Mushkil Ho Gaya

Film – The Train – Actors – Rajesh Khanna and Nanda

3. Maine Tere Liye Hi Saat Rang Ke Sapne Chune,

Sapne Surile Sapne,Kuchh Hanste Ke, Kuchh Gham Ke,

Teri Ankhon Ke Saye Churaye, Rasilee, Yaadon Ne,

Maine Tere Liye Hi Saat Rang Ke Sapne Chune, Sapne Surile Sapne,

Film – Anand

Actors – Rajesh Khanna, Amitabh Bachchan, Ramesh Deo,  and Seema Deo.

4. Teri Ankhon Ki Chahat Mein, To Main Sab Kuchh Luta Doonga,

Mohabbat Kaise Ki Jati Hai, Mohabbat Kaise Ki Jati Hai,

Main Duniya Ko, Dikha Doonga, Teri Ankhon Ki Chahat Mein,

Film – Janta Hawaldar – Actors – Rajesh Khanna and Yogita Bali

5.Duniya Mein Pyar Ki Sabko Zaroorat Hai, Dil De Dil Le,

Yahi Mohabbat Hai, Karle Pyar Karle, Ankhen Chaar Karle,

Karle Pyar Karle, Ankhen Chaar Karle,

Film – Sachcha Jhootha –

Actors – Rajesh Khanna, Mumtaz. Vinod Khanna, and Others

6.Ankhon Mein Humne Aap Ke Sapne Sajaye Hain,

Palkein Utha Ke Aap Ne Jadu Jagaye Hain,

Sapna Bhi Aap Hi Hain, Haqeeqat Bhi Aap Hain,

Bas Aap Aap Aap Hi Mujh Mein Samaye Hain,

Film – Thodi Si Bewafai – Actors – Rajesh Khanna and Shabana Azmi

7. Dil Dhadak Dhadak Ke Keh Raha Hai Aa Bhi Ja,

Tu Humse Ankh Na Chura, Tujhe Kasam Hai Aa Bhi Ja,

Dil Tadap Tadap Ke De Raha Yeh Sada,

Tumhari Ho Chuki Hoon Main, Tumhare Paas Hoon Sada,

Film – Madhumati – Actors – Dilip Kumar and Vyjayantimala

8.Main To Kab Se Khadi Is Par, Yeh Akhiyaan, Thak Gayi Panth Nihaar,

Aaja Re, Pardesi, Main To Kab Se Khadi Is Par,

 Yeh Akhiyaan, Thakk Gayi Panth Nihaar, Aaja Re, Pardesi,

Film – Madhumati – Actors – Dilip Kumar and Vyjayantimala

9. Zulmi Sang Ankh Ladi, Zulmi Sang Ankh Ladi, Re Ho,

Sakhi Main Ka Se Kahoon, O’Sakhi Ka Se Kahoon,

Jane Kaise Yeh Baat Badi, Zulmi Sang Ankh Ladi, Re Ho

Film – Madhumati – Actors – Dilip Kumar, Vyjayantimala, and Others

10.Toote Hue Khwabon Ne Humko Yeh Sikhaya Hai,

Dil Ne, Dil Ne Jise Paya Tha, Ankhon Ne Ganwaya Hai.

Toote Hue Khwabon Ne Humko Yeh Sikhaya Hai,

Dil Ne, Dil Ne Jise Paya Tha, Ankhon Ne Ganwaya Hai.

Film – Madhumati – Actors – Dilip Kumar

11.Ankhon Mein Tum, Ankhon Mein Tum, Dil Mein Tum Ho,

Tumhari Marzi, Mano Ke Na Mano, Haan Mano Ke Na Mano,

O’, O’, O’, O, Kab Se Yeh Dil, Dil Tumhara, Yeh Raz-E-Dil,

Tum Jano Ke Na Jano, Tum Jano Ke Na Jano,

Film– Half Ticket – Actors – Kishore Kumar and Madhubala

12. Chand Sa Mukhda, Kyon Sharmaya, Chand Sa Mukhda, Kyon Sharmaya,

Ankh Mili, Aur Dil Ghabraya, Chand Sa Mukhda, Kyon Sharmaya,

Film – Insaan Jaag Utha  – Actors – Sunil Dutt and Madhubala

13.Teri Ankhon Ke Siva Duniya Mein Rakha Kya Hai,

Ye Uthe Subah Chale, Yeh Jhuken Shaam Dhale,

Mera Jeena, Mera Marna Inhi Palkon Ke Tale,

Teri Ankhon Ke Siva Duniya Mein Rakha Kya Hai,

Film – Chirag – Actors – Sunil Dutt and Asha Parekh

14. Ansoo Samajh Ke Kyon Mujhe Ankh Se Toone Gira Diya,

Moti Kisike Pyar Ka, Mitti Mein Kyon Mila Diya,          

Ansoo Samajh Ke Kyon Mujhe Ankh Se Toone Gira Diya,

Film- Chhaya – Actors –Sunil Dutt, Asha Parekh, Nirupa Roy, and Others

15. Ankhon Mein Masti Sharab Ki, Kali Zulfon Mein Raten Shabab Ki,

Jane Ayi Kahan Se Toot Ke, Mere Daman Mein Pankhuri Gulab Ki

Ankhon Mein Masti Sharab Ki, Kali Zulfon Mein Raten Shabab Ki,

Jane Ayi Kahan Se Toot Ke, Mere Daman Mein Pankhuri Gulab Ki

Film – Chhaya – Actors – Sunil Dutt and Asha Parekh

16. Ankhon Ankhon Mein Hum Tum, Ho Gaye Deewane,

Baaton Baaton Mein Dekho, Ban Gaye Afsane,

Ankhon Ankhon Mein Hum Tum, Ho Gaye Deewane,

Film – Mahal – Actor – Dev Anand and Asha Parekh

17.Yeh Ankhen Uff Yumma, Yeh Soorat, Uff Yumma,

Pyar Kyon Na Hoga, Yeh Adayen Uff Yumma,

Yeh Mausam Uff Yumma, Yeh Dhadkan Uff Yumma,

Kaise Dil Ko Rokoon, Koi Thame Uff Yumma,

Film – Jab Pyar Kisise Hota Hai –Actors – Dev Anand and Asha Parekh

18. Khoya Khoya Chand, Khula Asmaan,

Ankhon Mein Sari Raat Jayegi, Tumko Bhi Kaise Neend Ayegi

Film – Kala Bazar – Actors – Dev Anand and Waheeda Rehman

19..Ankhon Hi Ankhon Mein Ishara Ho Gaya,

Baithe Baithe Jeene Ka Sahara Ho Gaya, Ankhon Hi Ankhon Mein,

Film – C.I.D. – Actors – Dev Anand and Shakila

20. Leke Pehla Pehla Pyar, Bhar Ke Ankhon Mein Khumar,

Jadu Nagri Se Aaya Hai, Koi Jadugar, Leke Pehla Pehla Pyar,

Film – C.I.D. – Actors – Dev Anand, Shakila, and Others

21.Tujhe Jeevan Ki Dor Se, Baandh Liya Hai, Baandh Liya Hai,

Teri Khushiyaan Aur Gham, Sar Ankhon Par,

Maine Badle Mein Pyar Ke Pyar Diya Hai, Pyar Diya Hai,

Tere-Zulm-O-Sitam, Sar Ankhon Par

Film-Asli Naqli-Actors-Dev Anand and Sadhna

22. Aap Yunhi Agar Humse Milte Rahe,

Dekhiye Ek Din Pyar Ho Jayega,

Aap Yunhi Agar Humse Milte Rahe,

Dekhiye Ek Din Pyar Ho Jayega,

Aisi Baaten Na Kar O’ Haseen Jadugar,

Mera Dil Teri Ankhon Mein Kho Jayega

Film – Ek Musafir Ek Haseena – Actors – Joy Mukherji and Sadhana

23. Bahut Shukriya, Badi Meherbani,

Meri Zindagi Mein, Huzoor Aap Aye,

Kadam Choom Loon Ya, Yeh Ankhen Bichha Doon,

Karun Kya Yeh Meri, Samajh Mein Na Aye, Bahut Shukriya

Film – Ek Musafir Ek Haseena – Actors – Joy Mukherji and Sadhana

24.Chehra Hai Ya Chand Khila Hai, Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya,

Sagar Jaisi, Ankhon Wali, Yeh To Bata Tera Naam Hai Kya

Chehra Hai Ya Chand Khila Hai, Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya,

Sagar Jaisi, Ankhon Wali, Yeh To Bata Tera Naam Hai Kya

Film – Sagar – Rishi Kapoor and Dimple Kapadia

25.Shirdi Wale, Sai Baba, Aya Hai Tere Dar Pe Sawali, Lab Pe Duayen,

Ankhon Mein Ansoo, Dil Mein Umeedein, Par Jholi Khali,

Shirdi Wale, Sai Baba, Aya Hai Tere Dar Pe Sawali,

Film – Amar Akbar Anthony – Actors – Rishi Kapoor and Others

26. Ankhon Mein Kajal Hai, Kajal Mein, Mera Dil Hai,

Ankhon Mein Kajal Hai,Kajal Mein, Mera Dil Hai,

To Chalo Dil Mein Bitha Ke Tumhe, Tumse Hi Pyar Kiya Jaye,

Ankhon Mein Kajal Hai, Kajal Mein, Mera Dil Hai,

To Chalo Dil Mein Bitha Ke Tumhe, Tumse Hi Pyar Kiya Jaye,

Film – Doosra Admi – Actors – Rishi Kapoor and Neetu Singh

27.Raat Kali Ik Khwab Mein Ayi, Aur Gale Ka Haar Hui,

Subah-O  Ko Jab Hum Neend Se Jage, Ankh Unhi Se Chaar Hui

Raat Kali Ik Khwab Mein Ayi, Aur Gale Ka Haar Hui,

Film – Buddha Mil Gaya – Actors – Navin Nischal and Archana

28. Yeh Kali Kali Ankhen, Yeh Gore Gore Gaal,

Yeh Teekhi Teekhi Nazren, Yeh Hirni Jaise Chaal,

Dekha Jo Tujhe Janam, Hua Hai Bura Haal

Yeh Kali Kali Ankhen, Yeh Gore Gore Gaal,

Film – Baazigar – Actors – Shahrukh Khan and Kajol

29. Say Shava Shava, Say Shava Shava, Roop Hai Tera Sona Sona,

Soni Teri Payal, Chhan Chhana Chhan Aise Chhanke,

Karde Sabko Ghayal, Hey Keh Raha Ankhon Ka Kajal,

Ishq Mein Jeena Marna, Say Shava Shava, Mahiya Ve Shava Shava

Film – Kabhi Khushi Kabhi Gham -Actors – Amitabh Bachchan,

Jaya Bachchan, Shahrukh Khan, Kajol, Preity Zinta, and Others

30. Ankhon Mein Teri Ajab Si Ajab Si Adayen Hain,

Dil Ko Banade Jo Patang Sansen Teri Woh Hawayein Hain,

Film – Om Shanti Om –

Actors – Shahrukh Khan, Deepika Padukone, and Others

31. Bholi Si Soorat, Ankhon Mein Masti Door Khadi Sharmaye, Hai Hai,

Ek Jhalak Dikhlaye Kabhi, Kabhi Anchal Mein Chhup Jaye, Hai Hai,

Meri Nazar Se Tum Dekho To, Yaar Nazar Woh Aye,

Film – Dil To Pagal Hai –

Actors – Shahrukh Khan, Madhuri Dixit, and Karisma Kapoor

32. Ankhen Khuli Ho Ya Ho Bandh Deedar Unka Hota Hai,

Kaise Kahoon Main O’Yaara, Yeh Pyar Kaise Hota Hai,

Film – Mohabbatein –

Actors – Shahrukh Khan, Aishwarya Rai, Jimmy Shergill, Uday Chopra,

Jugal Hansraj, Preeti Jhangiani, Kim Sharma, Shamita Shetty, and Others

33. Woh Haseena, Woh Neelam Pari, Kar Gayi Kaisi Jadoogari,

Neend In Ankhon Se Chhen Lee Hai, Dil Mein Bechainiyaan Hain Bhari

Film – Om Shanti Om – Actors – Shahrukh Khan and Others

34. O’ Re Kanchi, Kanch Ki Gudiya, Hothon Pe Bande Prem Ki Pudiya,

Na Unhe Khole, Na Moonh Se Bole, Palkon Pe Rakkhe, Ankhon Se Bole,

Film – Asoka – Actors – Shahrukh Khan and Kareena Kapoor

35.Aapki Ankhon Mein Kuchh Mahke Hue Se Raaz Hain,

Apse Bhi Khoobsurat, Apke Andaz Hain,

Aapki Ankhon Mein Kuchh Mahke Hue Se Raaz Hain,

Film – Ghar-Actors – Vinod Mehra and Rekha

36.In Ankhon Ki Masti Ke, Mastane Hazaron Hain,

Masane Hazaron Hain, In Ankhon Se Vabasta,

Afsane Hazaron Hain, In Ankhon Ki Masti Ke,

Film – Umrao Jaan – Actors – Rekha, Farooq Shaikh, and Others

37.Ankh Milti Hai To Dil Machalta Hai Kya,

Tumko Maloom Ho To Batao Zara,

Ankh Meri Kisi Se Mili Hi Nahin,

Dil Machlata Bhi Hai Yeh Mujhe Kya Pata,

Film Mehandi Rang Layegi Actors – Jeetendra and  Rekha

38.Milo Na Tum To Hum Ghabrayei, Milo To Ankh Churayen,

Hamen Kya Ho Gaya Hai, Hame Kya Ho Gaya Hai,

Film – Heer Ranjha – Actors – Priya Rajvansh and Raj Kumar

39. Jane Kaise Sapno Mein Kho Gayi Akhiyaan,

Main To Hoon Jagi Mori So Gayi Akhiyaan

Film – Anuradha – Actors – Leela Naidu and Balraj Sahni

40. Main Doob Doob Jata Hoon, Sharbati Teri Ankhon Ki,

Jheel Si Gehrayi Mein, Main Doob Doob Jata Hoon,

Film – Blackmail – Actors – Shatrughan Sinha and Rakhee

41.Hum Apki Ankhon Mein, Is Dil Ko Basa Dein To,

Hum Moond Ke Palkon Ko, Is Dil Ko Sazaa Dein To,

Hum Apki Ankhon Mein, Is Dil Ko Basa Dein To,

Film – Pyasa – Actors  – Guru Dutt and Mala Sinha

42. Saquiya Aaj Mujhe Need Nahin Ayegi,

Suna Hai Teri Mehfil Mein Rat-Jaga Hai

Ankhon Ankhon Mein Yun Hi Raat Guzar Jayegi,

Suna Hai Teri Mehfil Mein Rat-Jaga Hai

Film – Saheb Bibi Aur Gulam – Actors – Minoo Mumtaz,

Guru Dutt and Others

43.Phool Ban Jaoonga Shart Ye Hai Magar,

Apni Zulfon Mein Mujhko Saja Lijiye,

Khwab Ban Jaoongi Shart Yeh Hai Magar,

Apni Ankhon Mein Mujhko  Basa Lijiye

Film – Pyar Kiye Ja – Actors – Shashi Kapoor and Rajshree (South)

44.Khambhe Jaisi Khadi Hai, Ladki Hai Ya Chhadi Hai,

Shola Hai, Phuljadi Hai, Pattakhe Ki Ladi Hai,

Ankhon Mein Gussa Hai, Labon Pe Gali Hai,

Dekho Zara Dekho Ye,  Khud Ko Samajti Hai Kya

Film – Dil – Actors – Amir Khan, Madhuri Dixit, and Others

45. Dekha Hai Pahali Baar, Sajan Ki Ankhon Mein Pyar,

Ab Jake Aya Mere, Bechain Dil Ko Qarar,

Dilbar Tujhse Milne Ko, Kab Se Thi Main Bekarar,

Ab Jake Aya Mere, Bechain Dil Ko Qarar,

Film – Sajan – Actors – Madhuri Dixit and Salman Khan

46.Chanda Hai Tu, Mera Sooraj Hai Tu, O’ Meri Ankhon Ka Tara Hai Tu

 Chanda Hai Tu, Mera Sooraj Hai Tu.

 Film – Aradhana  – Actors – Sharmila Tagore and Child Artist     

47.Jadu Bhari Ankhon Wali Suno, Tum Aise Mukhe Dekha Na Karo

Film – Dastak – Actors – Sushmita Sen and Mukul Dev

48.Jaan Pehchan Ho, Jeena Asaan Ho, Dil Ko Churane Wale Ankh Na Churao

 Naam To Batao, Jaan Pehchan Ho,

Film – Gumnaam – Actors – Laxmi Chhaya and Others

49. Ankhon Ki Gustakhiyaan Maaf Hon,

Film – Hum Dil De Chuke Sanam –

Actors – Salman Khan and Aishwarya Rai

50.Lal Chhadi Maidan Khadi Kya Khoob Ladi Kya Khoob Ladi

Hum Dil Se Gaye Hai, Hum Dil Se Gaye, Hum Jaan Se Gaye,

Jab Ankh Mili Aur Baat Badi, Lal Chhadi, Maidan Khadi                   

Film – Jaanwar – Actors – Shammi Kapoor – Rajshree and Others

51. Yeh Chand Sa Roshan Chehra, Zulfon Ka Rang Sunahara,- Actors – Shammi

Yeh Jheel Si Neeli Ankhen, Koi Raaz Hai Inmein Gahara,

Tareef Karoon Ka Uski, Jisne Tumhein Banaya

Film – Kashmir Ki Kali –

Actors – Shammi Kapoor, Sharmila Tagore, and Others

52.Jhoomta Mausam Mast Maheena, Chand Si Gori Ek Haseena,

Ankh Mein Kaajal Moonh Pe Paseena, Ya Allah Ya Allah Dil Le Gayi,

Koi Rangeela Sapanon Mein Aa Ke, Ik Nazar Se Apana Bana Ke,

Pyar Ka Jaadu Hum Pe Chala Ke, Ya Allah Ya Allah Dil Le Gaya,

Film – Ujaala – Actors – Shammi Kapoor and Mala Sinha

53. Bade Hain Dil Ke Kale, Haan Yahi, Neeli Si Ankhon Wale,

Soorat Buri Ho Bura Nahin Dil Mera, Na Ho Yakeen Azmale,

Meri Jaan Wah Wah Wah, Meri Jaan Wah Wah Wah Wah,

Film – Dil Deke Dekho – Actors – Shammi Kapoor, Asha Parekh, and Others

54. Teri Neeli Neeli Ankhon Ke Dil Pe Teer Chal Gaye,

Chal Gaye, Chal Gaye, Chal Gaye,

Yeh Dekh Ke Duniya Walon Ke, Dil Jal Gaye, Jal Gaye, Jal Gaye, Jal Gaye,

Film – Jaane Anjaane – Actors – Shammi Kapoor and Leena Chandavarkar

55. Akhiyon Ke Jharokhon Se, Maine Dekha Jo Sanware,

Tum Door Nazar Aye, Badi Door Nazar Aye,

Bandh Kar Ke Jharokhon Ko, Zara Baithi Jo Sochane,

Man Mein Tumhi Muskaye, Man Mein Tumhi Muskaye,

Film – Akhiyon Ke Jharokhon Se – Actors – Ranjita and Sachin

 (Image: Google Images)

Geeta Chadda

Recent Posts

65 Mere मेरेWord Songs For Antakshari In Hindi

“मेरी जान में तेरी जान है ओ साथी मेरे” 1. मेरे दिल की घड़ी करे… Read More

3 weeks ago

50 Kabhi कभी Word Songs In Hindi

“छोटी सी ये दुनिया, पहचाने रास्ते हैं, तुम कहीं तो मिलोगे, कभी तो मिलोगे, तो… Read More

2 months ago

55 “Yaad” Word Songs List In English

“Jab Chali Thadi Hawa, Jab Uthi Kali Ghata, Mujhko Ae Jaan-E-Wafa, Tum Yaad Aye” 1. … Read More

2 months ago

55 Naam नाम Word Songs List In Hindi

“कोई लड़की मुझे कल रात सपने में मिली, बड़ी प्यारी सी सूरत थी, भला सा… Read More

2 months ago

Kahan कहां Word Songs List In Hindi

“ये कहां आ गये हम, यूँ ही साथ साथ चलते तेरी बाहों में है जानम,… Read More

2 months ago

75 Duniya दुनिया Word Songs For Antakshari

“इक नई सुबह दुनिया में आने को है” 1. ये जिंदगी के मेले, ये जिंदगी… Read More

2 months ago