Actor-Dilip Kumar Songs
“Main Ashiq Hoon Tadbeeron Ka”
Lyricist Shakeel Badayuni – Music Director Naushad
1.Apni Azadi Ko Hum Hargiz Mita Sakte Nahin,
Sar Kata Sakte Hain Lekin, Sar Jhuka Sakte Nahin,
Apni Azadi Ko Hum Hargiz Mita Sakte Nahin,
Film – Leader – Actors – Dilip Kumar, Vyjayantimala, and Others
2. Hameen Se Mohabbat, Hameen Se ladai,
Are Maar Daala Duhai, Duhai,
Abhi Na-Samajh Ho Uthao Na Khanjar,
Kahin Mud Na Jaaye, Tumhari Kalai,
Are Maar Daala Duhai, Duhai,
Film – Leader – Actors – Dilip Kumar and Vyjayantimala
3.Tere Husn Ki Kya Tareef Karoon, Kuchh Kahate Hue Bhi Darta Hoon,
Kahin Bhool Se Tu Na Samajh Baithe,
Ki Main Tujhse Mohabbat Karta Hoon
Film – Leader – Actors – Dilip Kumar and Vyjayantimala
4.Madhuban Mein Radhika Nache Re, Girdhar Ki Muraliya Baje Re,
Madhuban Mein Radhika Nache Re, Girdhar Ki Muraliya Baje Re,
Film – Kohinoor – Actors – Dilip Kumar, Kumkum, Mukri, and Others
5.Do Sitaron Ka Zameen Par Hai Milan Aaj Ki Raat,
Muskurata Hai Umeedon Ka Chaman Aaj Ki Raat,
Haan Do Sitron Ka Zameen Par Hai Milan Aaj Ki Raat, Aaj Ki Raat
Film – Kohinoor – Actors – Dilip Kumar and Meena Kumari
6. Koi Pyar Ki Dekhe Jadugari, Gulfam Ko Mil Gayi Sabz Pari,
Film – Kohinoor – Actors – Dilip Kumar and Meena Kumari
7. Chalenge Teer Jab Dil Par To Armano Ka Kya Hoga,
Lutega Ghar To Phir Is Ghar Ke Mahmano Ka Kya Hoga,
Chalenge Teer Jab Dil Par To Armano Ka Kya Hoga,
Film – Kohinoor – Actors – Dilip Kumar and Meena Kumari
8. Zara Man Ki Kivadiya Khol, Saiyaan Tore Dware Khade,
Saiyaan Tore, Balma Tore Dware, O’Sajna Tore Dware Khade,
Film – Kohinoor – Actors – Dilip Kumar, Meena Kumari, and Jeevan
9. Dhal Chuki Shaam-E-Gham, Muskura Le Sanam,
Ik Nayi Subah Duniya Mein Ane Ko Hai,
Pyar Sajne Laga, Saaz Bajane Laga,
Zindagi Dil Ke Taron Pe Gaane Ko Hai,
Film – Kohinoor – Actors – Dilip Kumar, Meena Kumari, and Kumkum
10.Maan Mera Ehsan, Are Nadan Ki Maine Tujhse Kiya Hai Pyar,
Maine Tujhse Kiya Hai Pyar,
Meri Nazar Ki Dhoop Na Bharati Roop,
To Hota Husn Tera Bekaar, Maine Tujhse Kiya Hai Pyar,
Film – Aan – Actors – Dilip Kumar and Nadira
11.Meri Kahani Bhulne Wale Tera Jahan Abad Rahe,
Teri Khushi Par Main Mit Jaoon,
Duniya Teri Abaad Rahe, Meri Kahani,
Film – Deedar – Actors – Dilip Kumar, Nargis, and Ashok Kumar
12.Aaj Purani Rahon Se, Koi Mujhe Awaz Na De,
Dard Mein Doobe Geet Na De, Gham Ka Siskta Saaz Na De,
Film – Aadmi – Actors – Dilip Kumar
13. Kaisi Haseen Aaj Baharon Ki Raat Hai
Ik Chand Asmaan Pe Hai Ik Mere Saath Hai
O Dene Wale Tune To Koi Kami Na Ki,
Ab Kisko Kya Mila Yeh Muqaddar Ki Baat Hai.
Film – Aadmi – Actors – Dilip Kumar, Manoj Kumar and Waheeda Rehman
14. Na Aadmi Ka Koi Bharosa, Na Dosti Ka Koi Thikana,
Wafa Ka Badla Hai Bewafai, Ajab Zamana Hai Yeh Zamana,
Na Aadmi Ka Koi Bharosa, Na Dosti Ka Koi Thikana,
Film – Aadmi – Actors – Dilip Kumar, Manoj Kumar and Waheeda Rehman
15.O Door Ke Musafir, Hum Ko Bhi Saath Le Le Re,
Hum Ko Bhi Saath Le Le Re, Hum Rah Gaye Akele,
Film – Uran Khatola – Actors – Dilip Kumar, Nimmi, and Others
16. Mohabbat Ki Rahon Mein Chalana Sambhal Ke,
Yahan Jo Bhi Aaya, Gaya Haath Mal Ke,
Mohabbat Ki Rahon Mein Chalana Sambhal Ke,
Film – Uran Khatola – Actors – Dilip Kumar, Nimmi, and Others
17. Koi Sagar Dil Ko Behlata Nahin,
Bekhudi Mein Bhi Qarar Aata Nahin,
Koi Sagar Dil Ko Behlata Nahin,
Film – Dil Diya Dard Liya – Actors – Dilip Kumar and Waheeda Rehman
18. Dilruba Maine Tere Pyar Mein Kya Kya Na Kiya.
Dil Diya Dard Liya, Dil Diya Dard Liya,
Kabhi Phoolon Mein Guzari, Kabhi Kaaton Mein Jiya,
Dil Diya Dard Liya,
Film – Dil Diya Dard Liya – Actors Dilip Kumar and Waheeda Rehman
19. Gujre Hain Aaj Ishq Mein Hum Us Makaam Se,
Nafrat Si Ho Gayi Hai, Mohabbat Ke Naam Se, Guzre Hain,
Film – Dil Diya Dard Liya – Actors – Dilip Kumar and Waheeda Rehman
20.Sawan Aye Ya Na Aye, Jiya Jab Jhoome Sawan Hai,
Sawan Aye,
Film – Dil Diya Dard Liya – Actors – Dilip Kumar and Waheeda Rehman
21.Nain lad Jaiye To Manwa Ma Kasak Hoi Be Kari,
Prem Ka Phute Hai Patakha To Dhanak Hoi Be Kari,
Nain lad Jaiye To Manwa Ma Kasak Hoi Be Kari,
Film – Ganga Jamna – Actors – Delip Kumar and Vyjayantimala
22.Tu Kahe Agar Jeevan Bhar Main Geet Sunata Jaoon,
Man Been Bajata Jaoon, Tu Kahe Agar,
Film – Andaz – Actors – Dilip Kumar, Nargis, and Others
23. Hum Aaj Kahin Dil Kho Baithe, Hum Aaj Kahin,
Yun Samajho Kisi Ke Ho Baithe, Hum Aaj Kahin
Film – Andaz – Actors – Dilip Kumar and Nargis
24. Toote Na Dil Toote Na, Toote Na,
Saath Hamara Chhoote Na, Dil Toote Na, Toote Na,
Film – Andaz – Actors – Dilip Kumar, Nargis, and Others
25.Yeh Zindagi Ke Mele, Yeh Zindagi Ke Mele,
Duniya Mein Kum Na Honge, Afsos Hum Na Honge,
Yeh Zindagi Ke Mele,
Film – Mela – Actors – Dilip Kumar, Nargis, and Others
26.Gaye Ja Geet Milan Ke, Tu Apni Lagan Ke,
Balam Ghar Jaana Hai.
Film – Mela – Actors – Dilip Kumar and Others
27. Jab Dil Se Dil Takrata Hai, Mat Poochhiye Kya Ho Jaata Hai,
Jhukti Hai Nazar, Rukti Hai Zubaan, Maathe Pe Pasina Aata Hai,
Jab Dil Se Dil Takrata Hai, Mat Poochhiye Kya Ho Jaata Hai,
Film – Sangharsh – Actors – Dilip Kumar and Others
28.Mere Pairon Mein Ghunghroo Banadade,
To Phir Meri Chaal Dekhale,
Film – Sangharsh – Actors – Dilip Kumar and Others
29.Zindabaad Zindabaad, Ae Mohabbat Zindabaad
Film – Mughal-E-Azam – Actors – Dilip Kumar and Others
30.Aaj Ki Raat Mere Dil Ki Salami Lele, Dil Ki Salami Le Le,
Kal Teri Bajhm Se Deewana, Chala Jayega,
Shama Reh Jayegi, Parwana Chala Jayega,
Aaj Ki Raat Mere Dil Ki Salami Lele, Dil Ki Salami Le Le.
Film – Ram Aur Shyam – Actors – Dilip Kumar, Waheeda Rehman, Pran,
Nirupa Roy, and Others
31.Ayi Hain Baharen Mite Zulm-O-Sitam, Pyar Ka Zamana Aya, Door Hue Gham
Ram Ki Leela Rang Layi, Aha, Ha, Ha, Shyam Ne Bansi Bajayi Aha, Ha, Ha,
Ayi Hain Baharen Mite Zulm-O-Sitam, Pyar Ka Zamana Aya, Door Hue Gham
Ram Ki Leela Rang Layi, Aha, Ha, Ha, Shyam Ne Bansi Bajayi Aha, Ha, Ha,
Film – Ram Aur Shyam –
Actors –Dilip Kumar, Baby Farida, Pran, Nirupa Roy and Others
32.Main Hoon Saqui Tu Hai Sharabi Sharabi,
Main Hoon Saqui Tu Hai Sharabi Sharabi,
Toone Ankhon Se Pilayi, Woh Nasha Hai Ke Duhayi,
Har Taraf Dil Ke Chaman Mein, Phool Bikhre Hain Gulabi, Gulabi, Gulabi,
Main Hoon Saqui Tu Hai Sharabi Sharabi,
Film – Ram Aur Shyam – Actors – Dilip Kumar and Waheeda Rehman
33.Insaf Ka Mandir Hai Ye Bhagwan Ka Ghar Hai,
Kahana Hai Jo Kah De Tujhe, Kis Baat Ka Dar Hai,
Insaf Ka Mandir Hai Ye Bhagwan Ka Ghar Hai,
Film –Amar – Actors – Dilip Kumar, Madhubala, Nimmi, and Others
Lyricist – Shailendra – Music Director – Shankar Jaikishan
34.Yeh Mera Deewanapan Hai, Ya Mohabbat Ka Suroor,
Tu Na Pehchane To Hai Yeh Teri Nazron Ka Qusoor,
Yeh Mera Deewanapan Hai,
Film – Yahudi – Actors – Dilip Kumar and Meena Kumari
35.Ah Mere Dil Kahin Aur Chal, Gham Ki Duniya Se Dil Bhar Gaya,
Dhoondh Le Ab Koi Ghar Naya, Ah Mere Dil Kahin, Aur Chal.
Film – Daag – Actors – Dilip Kumar and Lalita Pawar
Lyricist – Hasrat Jaipuri – Music Director – Shankar Jaikishan
36. Koi Nahin Hai Mera is Duniya Main Ashiyaan Barbaad Hai,
Ansoo Bhari Mujhe Kismat Mili Hai, Zindagi Nashaad Hai,
Film – Daag – Actors – Dilip Kumar
Lyricist- Sahir Ludhianvi – Music Director – Sachin Dev Burman
37. Mitwa Lagi Re Ye Kaisi Anbujh Aag,
Mitwa Mitwa Nahin Aye, Lagi Re Ye Kaisi Anbujh Aag,
Film – Devdas – Actor – Dilip Kumar and Suchitra Sen
Lyricist – Majrooh Sultanpuri – Music Director – Sachin Dev Burman
38.Sala Main To Sahab Ban Gaya, Saab Banke Kaisa Tann Gaya,
Yeh Suit Mera Dekho, Yeh Bhoot Mera Dekho, Jaise Gora Koi London Ka,
Sala Main To Sahab Ban Gaya,
Film – Sagina – Actors – Dilip Kumar, Ompakash, and Others
Lyricist – Shailendra – Salil Chaudhary
39. Suhana Safar Aur Ye Mausam Haseen, Hamen Darr Hai,
Hum Kho Na Jayen Yahin, Suhana Safar Aur Ye Mausam Haseen,
Suhana Safar Aur Ye Mausam Haseen
Film – Madhumati – Actor – Dilip Kumar
40. Toote Hue Khwabon Ne, Humko Yeh Sikhaya Hai,
Dil Ne, Dil Ne Jise Paaya Tha, Ankhon Ne Ganwaya Hai,
Toote Hue Khwabon Ne
Film – Madhumati – Actor – Dilip Kumar
41.Dil Dhadak Dhadak Ke Kaha Raha Hai Aa Bhi Ja,
Tu Hamse Ankh Na Chura, Tujhe Kasam Hai Aa Bhi Ja,
Film – Madhumati – Actors – Dilip Kumar and Vyjayantimala
Lyricist- Sahir Ludhianvi – Music Director – O.P. Nayyar
42. Ye Desh Hai Veer Jawano Ka, Albelon Ka, Mastano Ka,
Is Desh Ka Yaaron Kya Kahana, Ye Desh Hai Duniya Ka Gahana,
Film – Naya Daur – Actors – Dilip Kumar, Ajit, and Others
43.Maang Ke Saath Tumhara, Maine Maang Liya Sansaar,
Maang Ke Saath Tumhara,
Film – Naya Daur – Actors – Dilip Kumar and Vyjayantimala
44. Udhe Jab Jab Zulfen Teri, Kanwariyon Ka Dil Machale,
Kanwariyon Ka Dil Machale, Jind Meriye,
Film – Naya Daur – Actors – Dilip Kumar, Vyjayantimala and Others
Lyricist – Rajendra Krishan – Music Director – C. Ramchandra
45.Kitna Haseen Hai Mausam, Kitna Haseen Safar Hai,
Saathi Hai Khoobsoorat, Yeh Mausam Ko Bhi Khabar Hai,
Kitna Haseen Hai Mausam, Kitna Haseen Safar Hai,
Film – Azad – Actors – Dilip Kumar and Meena Kumari
Lyricist – Anand Bakshi – Music Director – Kalyanji Anandji
46.Peete Peete Kabhie Kabhi Yun Jham Badal Jate Hain,
Jham Badal Jate Hain, Kaam Badal Jate Hain, Logon Ke Naam Badal jate Hain,
Peete Peete Kabhie Kabhi Yun Jham Badal Jate Hain,
Film – Bairaag – Actors – Dilip Kumar, Leena Chandavarkar and Others
47. Hathon Ki Chand Lakeeron Ka, Sab Khel Hai Bas taqdeeron Ka,
Taqdeer Hai Kya Main Kya Janu, Taqdeer Hai Kya Main Kya Janu,
Main Ashiq Hoon Tadbeeron Ka, Hathon Ki Chand Lakeeron Ka,
Film – Vidhata – Actors – Dilip Kumar and Shammi Kapoor
Lyricist- Rajendra Krishan – Music Director – Kalyanji Anandji
48.Ramchandra Kah Gaye Siya Se, Aisa Kalyug Ayega,
Hans Chugega Daana Gun Ka, Kauwa Moti Khayega
Film – Gopi – Actors – Dilip Kumar, Om Prakash, Nirupa Roy, and Others
49.Sukh Ke Sab Saathi, Dukh Mein Na Koi, Mere Ram, Mere Ram,
Tera Naam, Ik Sancha, Dooja Na Koi,
Sukh Ke Sab Saathi, Dukh mein Na Koi,
Film – Gopi – Actors – Dilip Kumar, Durga Khote, Om Prakash,
Nirupa Roy, Sudesh Kumar, and Others
Lyricist – Majrooh Sultanpuri Music Director – Khayyam
50.Shaam-E- Gham Ki Kasam, Aaj Gamgeen Hain Hum,
Aa Bhi Ja Aa Bhi Ja, Aaj Mere Sanam, Shaam-E- Gham Ki Kasam,
Film – Footpath – Actors – Dilip Kumar and Meena Kumari
Lyricist – Anand Bakshi – Music Director – Rahul Dev Burman
51.Maangi Thi Ik Dua Jo Qabool Ho Gayi,
Umeed Ki Kali Khilke Phool Ho Gayi,
Film – Shakti – Actors – Dilip Kumar and Rakhee
Lyricist- Sahir Ludhianvi – Music Director – Laxmikant Pyarelal
52. Na Tu Zameen Ke Liye, Hai Na Asmaan Ke Liye,
Tera Wajood Hai, Tera Wajood Hai, Ab Sirf Dastaan ke Liye,
Na Tu Zameen Ke Liya, Hai Na Asmaan Ke Liye,
Film – Dastaan – Actor – Dilip Kumar
Lyricist- Anand Bakshi – Music Director – Laxmikant Pyarelal
53.Imli Ka Boota, Beri Ka Peth, Imli Khatti Meethe Ber,
Is Jungle Mein Hum Do Sher, Chal Ghar Jaldi Ho Gayi Der,
Film – Saudagar – Actors – Dilip Kumar and Raj Kumar
Lyricist- Javed Akhtar – Music Director – Hridaynath Mangeshkar
54. Tum Ho To Har Raat Diwali, Har Din Meri Holi Hai
Film – Mashal – Actors — Dilip Kumar, Waheeda Rehman,
Anil Kapoor, Rati Agnihotri, and Others
(Image: Google Images)